Agneepath
Scene #2 - Bas ek baar is gaao mein bijli aa jaaye
A man comes running towards the duo.
Villager 1:
Masterji, masterji. Apne gaao mein bijli aa rahi hai. Engineer babu apne gaadi aur saaman ke saath aa chuke hain.
Lamp posts begin to flicker.
Vijay:
Shiksha! Oh, Shiksha!
The boy rushes home, where he collides with his mother.
Suhasini Chavan:
Uhh! Vijay! Hazaar baar tujhse kaha hai, zara dekh ke chala kar. Jaldbaazi mat kiya kar.
The boy goes to his sister, doing prayers.
Shiksha:
Kya baat hai, bhaiya?
Vijay:
Arey, kya diye ke paas baithi hai? Ab bhool jaa isey. Humare ghar mein sooraj chamakne waala hai.
Vijay:
Haan. Bijli aa rahi hai hamaare gaao mein.
Teacher brings Engineer to his house and introduces his wife.
Dinanath Chavan:
Yeh chief engineer saahab hain, Shri Mathur.
Dinanath Chavan:
Yeh hamaare gaao mein bijli lagaane aaye hain.
Dinanath Chavan:
Jab tak bijli ka kaam poora nahi ho jaata, yeh hamaare hi ghar mein mehmaan rahenge.
Suhasini Chavan:
Uh, achha.
Dinanath Chavan:
Aaiye, Mathur.
Engineer:
Dhanyawaad, namaste.
Dinanath Chavan:
Bas ek baar is gaao mein bijli aa jaaye, aur phir is gaao ki dharti par ek naya bhaarat janam lega.
Dinanath Chavan:
Aaiye. Yeh bachcho ka school hai.
Namaste masterji.
Dinanath Chavan:
Namaste. Yahan par bijli ka hona bahut hi zaroori hai.
Namaste.
Dinanath Chavan:
Namaste.
A woman puts garbage in front of the school.
Dinanath Chavan:
Arey, arey, Sookhi bhabhi, yeh kya kar rahi hain aap? Yeh koi kooda daalne ki jagah hai?
The woman shakes her head, in remorse.
The kids surround the engineer.
Vijay:
Yeh ech aye tee, hat hai na?