Deewaar

Scene #37 - Bhai tum sign karoge yaa nahi

At Vijay's house.
Amitabh Bachchan as Vijay Verma
Vijay Verma:
Maa. Maa. Kya baat hai, Maa? Kya hua, Ravi?
Shashi Kapoor as Ravi Verma
Ravi Verma:
Bhai, main tumse kuchh baat karna chaahta hoon. Aaj mujhe ek list dee gayi hai, police department ke taraf se. List mein un logo ke naam likhe hain jinpar police ko poora shaq hai ki woh smuggling aur doosre gair kanooni kaam karte hain. Un mein se ek naam tumhaara bhi hai.
Amitabh Bachchan as Vijay Verma
Vijay Verma:
Aur kuchh kehna chaahte ho?
Shashi Kapoor as Ravi Verma
Ravi Verma:
Is par sign kar do.
Amitabh Bachchan as Vijay Verma
Vijay Verma:
Kya hai is kaagaz pe?
Shashi Kapoor as Ravi Verma
Ravi Verma:
Is mein likha hai ki tum police ko sab kuchh bataane ke liye taiyyaar ho, apne jurm, apne kaale paise, apne saathiyo ke naam. Mujhe is par tumhaare sign chaahiye.
Amitabh Bachchan as Vijay Verma
Vijay Verma:
Ravi, tumhe yaad hai bachpan mein hamne kitni raatein footpath par khaali pet guzaari thi?
Shashi Kapoor as Ravi Verma
Ravi Verma:
Tum sign karoge ya nahi?
Amitabh Bachchan as Vijay Verma
Vijay Verma:
Tumhe yaad hai ki maa ko apni beemari mein do rupye kamaane ke liye roz mazdoori karni padti thi?
Shashi Kapoor as Ravi Verma
Ravi Verma:
Tum sign karoge ya nahi?
Amitabh Bachchan as Vijay Verma
Vijay Verma:
Tumhe yaad hai woh ek ek thokar jo doosro ne hame maari hai, woh ek ek gaali jo duniya ne hame dee hai...?
Shashi Kapoor as Ravi Verma
Ravi Verma:
Bhai, tum sign karoge yaa nahi?!
Amitabh Bachchan as Vijay Verma
Vijay Verma:
Haan. Main sign karoonga. Lekin main akele nahi karoonga. Main sabse pehle sign nahi karoonga. Jaao pehle us aadmi ka sign lekar aao jisne mere baap se sign liya tha. Pehle us aadmi ka sign lekar aao jisne meri maa ko gaali deke naukri se nikaal diya tha. Jaao pehle us aadmi ka sign lekar aao jisne mere haath pe yeh likh diya tha. Uske baad, uske baad mere bhai, tum jis kaagaz pe kahoge, main uspe sign kar doonga.
Shashi Kapoor as Ravi Verma
Ravi Verma:
Doosro ke paap ginaane se tumhaare apne paap kam nahi ho sakte. Doosro ke jurm saabit karne se yeh sachaai nahi badal sakti ki tum bhi ek mujrim ho. Aur yeh sachaai tumhare mere beech ek deewaar hai bhai, aur jab tak yeh deewaar hai, hum ek chhat ke neeche nahi reh sakte. Main yeh ghar chhode jaa raha hoon. Abhi, isee waqt, chalo maa.
Amitabh Bachchan as Vijay Verma
Vijay Verma:
Tum jaana chaahte ho to jaao, lekin maa nahi jaayegi.
Shashi Kapoor as Ravi Verma
Ravi Verma:
Maa, mere saath chalo.
Amitabh Bachchan as Vijay Verma
Vijay Verma:
Kaha maine ki maa nahi jayegi.
Nirupa Roy as Sumitra Devi
Sumitra Devi:
Maa jayegi.
Amitabh Bachchan as Vijay Verma
Vijay Verma:
Nahi maa, tu mujhe chhod ke nahi jaa sakti. Tum mujhe bahut chaahti ho maa, main jaanta hoon tum mujhe chhod ke nahi jaa sakti.
Nirupa Roy as Sumitra Devi
Sumitra Devi:
Main jaa rahi hoon, Vijay.
Amitabh Bachchan as Vijay Verma
Vijay Verma:
Nahi maa, tum nahi jaogi.
Nirupa Roy as Sumitra Devi
Sumitra Devi:
Woh aadmi jisne tere baap ke sign liya woh tera kaun tha? Koi nahi. Woh aadmi jisne teri maa ko gaaliya dekar naukri se nikaala woh tera kaun tha? Koi nahi. Woh aadmi jisne tere haath par likh diya ki tera baap chor hai, woh tera kaun tha? Koi nahi. Magar tu, tu to mera apna beta tha, mera apna khoon. Tune apni maa ke maathe par kaise likh diya ki uska beta ek chor hai?
Amitabh Bachchan as Vijay Verma
Vijay Verma:
Lekin maa, yeh sab maine tere liye kiya. Yeh banglaa, yeh gaadi, yeh rupya paisa, yeh sab tumhare liye, yeh sab kuchh tumhara. Aur tumhi mujhe chhod ke jaa rahi ho?
Nirupa Roy as Sumitra Devi
Sumitra Devi:
Vijay, bada saudagar ban gaya hai re. Magar ek baat bolu? Apni maa ko khareedne ki koshish mat kar. Tu abhi itna ameer nahi hua beta ki apni maa ko khareed sake. Chal Ravi, chal.
Vijay remembers his own words.
Amitabh Bachchan as Vijay Verma
Vijay Verma:
Aaj se bees baras pehle jab yeh building ban rahi thi, meri maa ne yahan eente uthaayi thi. Aaj main yeh building apni maa ko tohfa dene jaa raha hoon.
He tears away the building papers.