Thanks, Kaakaa. Hello, Veera! Teen maheene ho gaye tumne phone nahi kiya. Ab achaanak kaise phone kar rahi ho? Huh. Hello.
Veera:
Hello, Ravi. How are you?
Ravi Verma:
Veera! Chuchuvuchi! Veera, I am fine. I am coming back, Veera. Haan, meri training ho gayi hai. Aur suno, suno suno, bambai mein hi posting hai. Haan, main aaj hi vaapis aa raha hoon. Arey Veera, tum nahi jaanti ki main kitna khush hoon, jee chaahta hai ki bas ek hi minute mein tum se mulaaqaat ho jaaye. Bas yahin khade khade. Sar uthaake dekhoo. Tum saamne aa jaao.
Veera:
To khade khade sar kya khuja rahe ho? Aankhein uthaake dekho na.
Ravi Verma:
Huh?!
Veera comes from the nearby telephone booth.
Ravi Verma:
Oh, my Veera! Bhen di takki. Chuchuvuchi! Ho ho, Veera. Ah, ha.
Police trainee 1:
Dekha, ek ladki se phone pe baat kee aur doosri ke gale mil raha hai.
Police trainee 2:
Kisee kisee ki luck hoti hai yaar.
Music starts.
Ravi Verma:
Keh doo tumhe?
Veera:
Haan.
Ravi Verma:
Yaa chup rahoo?
Veera:
Naa.
Ravi Verma:
Dil mein mere aaj kya hai.
Veera:
Kya hai?
Ravi Verma:
Keh doo tumhe, yaa chup rahoo... Dil mein mere aaj kya hai.
Jo bolo to janoo. Jo roothu to maanoo. Chalo yeh bhi vaada hai.
Veera:
Achha?
Ravi Verma:
Keh doo tumhe, yaa chup rahoo... Dil mein mere aaj kya hai.
Jo bolo to janoo, Jo roothu to maanoo, Chalo yeh bhi vaada hai.
Veera:
Socha hai tumne ki chalte hi jaaye. Taaro ke aage koi duniya basaaye. Theek hai?
Ravi Verma:
Uh huh.
Veera:
To tum bataao.
Ravi Verma:
Bataaoo?
Veera:
Haan.
Ravi Verma:
Socha hai yeh ki tumhe rasta bhulaaye. Soonee jagah pe kahin chhede daraaye.
Veera:
Arey na na, haye re na na, yeh na karna. Arey nahi re, nahi re, nahi re, nahi re, nahi re, nahi re, nahi re, nahi nahi.
Ravi Verma:
Keh doo tumhe, yaa chup rahoo. Dil mein mere aaj kya hai.
Jo bolo to janoo. Jo roothu to maanoo. Chalo yeh bhi vaada hai.
Veera:
Socha hai tumne ki kuchh gungunaaye. Masti mein jhoome, zara dhoome machaaye. Ab theek hai?
Ravi Verma:
Uh, huh.
Veera:
To tum bataao na.
Ravi Verma:
Bataaoo?
Veera:
Haan.
Ravi Verma:
Socha hai yeh ki tumhe nazdeek laaye. Phoolon se hontho ki laali churaaye.