Scene #16 - Sadak kya Peter ke baap ki hai Raheem chacha
At the docks, hafta time again. Vijay tries to leave without paying.
Peter's henchman:
Aye, kidhar jaata hai? Maal nikaal. Aye, mooh kya dekh raha hai? Paise phenk. Aye, piyela hai kya?
Takes bidi out of his mouth with right hand and packs a punch on the goon's face with his left hand, who falls down and doesn't get up then. Vijay has a look at him, puts bidi back to his mouth and resuming smoking, goes away.
Later, at Peter's den.
Peter:
Ek coolie mein itna dum ke mere aadmi ko maar de? Aaj saala ek aadmi ne hafta dene se inkaar kiya, kal do karega, parso chaar karega. Hamara rubaab aur izzat sab khallaas. Tum sab jaao aur us haraamzaade ko pakad ke idhar laao aur maar maar kar saale ki nali tod do. Jaao!
Again, at the docks.
Coolie:
Uhh!
Goon:
Aye, Vijay ko dekha hai?
Raheem Chacha:
Hume nahi malum, bhaiya. Hum nahi jaante.
Goon:
Kahan hai woh?
Raheem Chacha:
Malum nahi kidhar hai.
Vijay sips tea out of a saucer at the canteen.
Raheem Chacha:
Arey, tum yahan ho?
Vijay Verma:
Kya hua Raheem chacha?
Raheem Chacha:
Peter ke saare aadmi tumhaare jaan ke peechhe baahar sadak par tumhe dhoondh rahe hain?
Vijay goes towards the goons.
Raheem Chacha:
Tum, tum kahan jaa rahe ho?
Vijay Verma:
Baahar jaa raha hoon, sadak pe.
Raheem Chacha:
Arey, kya gazab kar rahe ho?! Beta, uhh, tum, tum idhar peechhe gali se chale jaao. Haan, haan, idhar se chale jaao.
Vijay Verma:
Sadak kya Peter ke baap ki hai, Raheem chacha?
Raheem Chacha:
Nahee, main nahi sunoonga, nahi sunoonga. Dekh, tu mujhe Raheem chacha kehta hai na. Uhh, beta, idhar se chala jaa, idhar se chala jaa, haan.