Scene #16 - Itna paisa mein ghar nahi chalta saala imaan kaise chalega
One of the 4 goons smokes over a telephone in a toilet.
Terrylene:
Vijay Chauhan doosri baar bach gaya hai. Tumko malum nahi hai mera haalat kya hai aaj, abhi. Achha, tum aisa karo, tum usko bolo ki mera life bahut danger mein hai, aur Vijay Chauhan kal hospital se nikalne waala hai. Hum pehla flight pakadke Mauritius aata hai uska paas. Usko bol dena. OK?
Gora:
OK.
Kaancha Cheena is taking a sun bath at the beach.
Gora:
Vijay Chauhan doosri baar bach gaya hai.
Kancha Cheena:
Bahut dino baad ek hindustani machhli hamare samundar mein dikhayi diya. Isey raat ke khaane pe bulaao.
Gora:
Magar, Vijay Chauhan to...
Kancha Cheena:
Apna usool kehta hai, jab dushman ki umr badh jaaye, to us se dosti kar lo, apni umr badh jaati hai. Vijay Chauhan ko phool bhej do.
At the hospital.
Inspector Pathan:
Bhai! Bhai! Hame maaf kar do, bhai. Humse bahut badi galti ho gayi, bhai.
Vijay looks at the flowers sent to him.
Vijay Dinanath Chavan:
Ha ha ha ha ha ha. Kaancha Cheena! Yeh phool bheja humko. Hhaein? Achha hai, achha phool hai.
Inspector Pathan:
Mujhe maaf kar do, bhai. Mujhe maaf kar do.
Vijay Dinanath Chavan:
Aye, kaiku rota hai yeh? Hhaein? Vardi mein to bahut taakat hota hai. Hhaein? Jisko chaahe rok sakta hai. Jisko chaahe andar aane deta hai, goli chalaane deta hai. Hhaein?
Inspector Pathan:
Aisi galti kabhi nahi hogi, bhai.
Vijay Dinanath Chavan:
Isko bolo aisa karne ka nahi. Huh? Haan. Oopar jaane ka kya isko? Nahi naa? Samjhaao isko. Abhi jaisa hum bolega, vaisa karneka. Hhaein?
Inspector Pathan:
Haan, haan.
Vijay Dinanath Chavan:
Aye, jaa, jaa. Huh, le ja isko.
Inspector Pathan:
Bhai!
Vijay Dinanath Chavan:
Jaa, jaa.
Inspector Pathan:
Shukriya, bhai. Bahut bahut shukriya, bhai.
Vijay Dinanath Chavan:
Woh...
Commissioner Gaitonde arrives at the scene.
Commissioner Gaitonde:
Mubarak ho, Vijay Chauhan. Nayi zindagi tumhe mubarak ho. Aaj tum bambai shehar ke betaaj baadshah ban gaye ho. Poora shehar aaj jashn mana raha hai, sivaay tumhaare un chaar bosses ke. Tumhare gunah ke shatranj ki chaal yehi hai na, ki dushman ki chaal khatm ho jaaye, to apni chaal chalo? Lekin main tumhari koi bhi chaal kaamyaab hone nahi doonga. Har raaste par deewaar banka khada rahoonga, har raste par. Kyonki main, main woh police officer hoon, jo sirf pandra sau rupye pagaar kamaakar bhi bikaau nahi hai.
Vijay Dinanath Chavan:
Pagaar badhaao. Yeh policewaale ka pagaar badhaao tum. Itna paisa mein ghar nahi chalta, saala imaan kaise chalega? Hhaein?
Nurse arrives to disperse the crowd.
Mary Mathew:
Arey, yeh sab kya ho raha hai? Chaliye, sab baahar chaliye. Please, jaao. I am sorry...
Unknown:
Achha bhai. Achha bhai. Kal jaroor aayenge.
The mother is the last to leave.
Vijay Dinanath Chavan:
Maa. Maa.
Suhasini Chavan:
Is maa ka ghar aaj bhi paanch sau rupye mein chalta hai, Vijay.