Scene #17 - Main tumko tumhara three tenty five dega
Nurse attends to Vijay.
Mary Mathew:
Pichhle teen dino se tum yahan behosh pade ho. Aur in dino mein tumhari maa ek bhi second ke liye yahan se nahi gayi, sirf tumhe dekhti rahi. Aur...
Vijay Dinanath Chavan:
Naam kya hai tumhara?
Mary Mathew:
Hmm?! Mera naam jaankar tum kya karoge?
Vijay Dinanath Chavan:
Woh tum pehla aurat hai mera maa ke baad jo Vijay Chauhan ko nanga dekha hai. Malum? Bachpan mein uske god mein khelta tha, tab. Uske baad, tum, idhar. Teen din se hum behosh pada hai. Tum hamaara dekhbhaal kiya hai. Isliye poochhta hai. Naam kya hai? Hhaein?
Mary Mathew:
Mary Mathews.
Krishnan enters the room.
Krishnan Iyer:
Aur main Krishnan Iyer M.A., naariyal pani waala. Aur teen din se main idhar se chalte, tumhare aadmi log bole jaana nahi, aur mera bhai... Aye, tumko malum kya, tumhara bahut aadmi tumko bhai bolta hai. Hhaa. Bola ke bhai tumko inaam degi. Main bola mere ko inaam nahi hona, mera three hundred twenty five rupees ka nuksaan hua na, mere ko de do, main jaati. Tum idharich khadi rahegi kya, huh?
Vijay Dinanath Chavan:
Main tumhara three tenty five nahi diya to?
Krishnan Iyer:
Uhh! Uhh, nahi sir, tum aisa nahi kar sakti hai. Main tumko footpath par se yehich kandhe par uthaake layi, malum? Agar main paanch minute der hoti to, tum oopar. Yehich kandhe par shamshaan leke jaana padta na tumko.
Vijay Dinanath Chavan:
Ah ha ha ha. Chalo. Main tumko tumhara three tenty five dega. Hhaein? Uhh, Krishnan?
Krishnan Iyer:
Yem yaa, Yem yaa.
Vijay Dinanath Chavan:
Haan, M.A., Krishnan M.A. Magar, ek vaada karna hoga.
Krishnan Iyer:
Kya?
Vijay Dinanath Chavan:
Aainda phir kabhi aisa kuchh hua, to tum udhar jaroor pahunchega.
Krishnan Iyer:
Pehla to aisa hoingaich nahi. Bhagwaan na kare aisa huyi naa, to main paanch minute pehli aayegi. Tab mereko gussa aayegi, dekhna main lungi uthaake kya karti hai.
Vijay Dinanath Chavan:
Ha ha ha ha, ha ha ha ha ha. Ha ha ha ha ha ha.
His eyes turn to the 4 bullets in a bowl.
Mary Mathew:
Yeh tumhari body se nikli huyi golyaa hain. Inki ab koi zaroorat nahi.
As he puts the bullets in his enclosing palm, he recalls the bullets hitting him.
At the 4 goons's lair.
Unknown:
Kal woh hospital se baahar niklega, hamaari jaan le lega.
Unknown:
Arey, kuchh nahi honewaala hai.
Unknown:
Arey, hato hamaare raaste se.
Unknown:
Arey, arey, woh bhaag gaya! Arey, baith na.
Inspector Pathan:
Arey, kahaan chale, Anna?
Shetty:
Tumhare jahannum mein. Saala hat. Bachaane nikla humko.
Inspector Pathan:
Hello Mr.Terrylene, kaise ho, huzoor?
Terrylene:
Huh! Useless living in this country anymore.
Inspector Pathan:
Ha. Assalam valekkum, salaam valekkum.
Usman:
Vaalekkum salaam.
Inspector Pathan:
Kaise ho, Usmaan bhai? Khairiyat? Khairiyat? Bhai jaan, hum bahut sochne ke baad is nateeje pe pahunche hain ke, in haalaat mein, yeh jo chal raha hai na, aapke liye ek hi mehfooz jaga hai, jidhar aapki jaan ko koi khatra nahi.