At Dinkar Rao's house, Kancha Cheena holds Vijay's family members captive.
Kancha Cheena:
He, he. To yeh hai, yeh hai is gaav ka rakhwala.
Nathu / Kaka:
Haan, maihich hai, is gaav ka rakhwala. Aur tu kya mita dalega? Aye, haath nahi lagaaneka saala haraami, baat karta hai apun. Tu mita dalega? Master ke khaandaan ko mita dalega? Mereko marega goli?
He picks some soil from the ground.
Nathu / Kaka:
Yeh dekh, matti hai, matti. Is mein tu bhi mit jayega, main bhi mit jayega, haan. Master sikhaaya mereko yeh, mera. Woh lega, woh lega hisaab lega, terese hi lega, uska beta hisaab lega. Aayega dekhna. Aaya! Woh dekho, haraami log, aa gaya tumhara baap aa gaya. Haan.
Kancha Cheena:
Paav kabar mein latak raha hai aur iraada aasmaan ko chhoone ka hai, hmm?
Nathu / Kaka:
Arey, mera paav to kabar mein hai kutreya. Tera to chita jalaane ko aata hai. Woh dekh.
Vijay runs towards this place with a setting sun in the background.
Nathu / Kaka:
Woh dekh, aa gaya. Mera beta Vijju aa gaya, dekha. Aa gaya re, Vijju.
Kancha Cheena fires 3 shots at the back of Kaka.
Nahi!
Vijay, on seeing this, stops in his tracks.
Aah!
Kancha Cheena:
Chalo. Vijay Chauhan, maine tumse kaha tha na, mere dhandhe ka ussool to tune dekh liya, magar uska anjaam tune nahi dekha. Ab tu uska anjaam dekh. Yeh dekh anjaam. Tere har galti ki saza tera khaandaan bhugtega. Tere kadam badhenge to laash giregi. Himmat hai to aage badh. Badh aage.
Vijay comes forward. Kancha Cheena pushes the mother away and sets to trigger remote control bombs in his path.
Aah!
Vijay!
Uh, uhh.
In the hospital.
Krishnan Iyer:
Nahi. Main bhai ko boli hai, main paanch minute pehle aayegi. Bhai. Main aati, bhai.
In the village, Vijay stops again, seeing the carnage.
Kancha Cheena:
Ruk kyon gaye, Vijay Chauhan? Aag se guzarne ka bada shauk tha na tujhe? Ab kya hua? Aage badho. Aur bachaa lo apne khaandaan ko. Pachees saal tak tu jalta raha na? Ab kya hua tujhe? Bacha le apni maa ko. Bacha le apni biwi ko. Bacha le apne bachche ko. Bacha le apni behen ko. Badho aage. Badho.
Vijay rushes forward through the path of fire. Kancha Cheena fires a bullet at Vijay. Mary falls down while trying to get free. The child wanders near the steps. Another shot is fired on Vijay. A flying gun releases the gun out of Kancha's hand. Kancha turns to see Krishnan attacking his men. Vijay jumps at Kancha. Vijay smashes Kancha's glasses on the ground and lands kicks and punches at him.
Nahi, chhod do, chhod do.
Krishnan makes his way towards the family. Vijay picks up Kancha Cheena.
Nahi, chhod do mujhe. Nahi. Nahi. Aah. Chhod do mujhe. Aah, aaah, aaah. Aah!
Vijay puts Kancha into fire where he speaks his last. Krishnan gets the child to safety.
Chhod do.
Vijay goes to his mother.
Vijay Dinanath Chavan:
Maa. Maa. Chal. Chal, ghar. Ghar chal. Ghar chal. Hhaein. Hhaein. Aa. Uh, yeh agneepath, uh, paar kiya main, huh, main paar kar diya. Uh, babuji ki laash main haath gaadi mein, bhaari tha. Maa, itna sa tha, akeyle kheench kar le gaya shamshaan ghaat tak. Bhaari tha par, main, main kiya. Ashru shvet rakt se lath path, lath path, lath path, agneepath, agneepath, agneepath. Uh, main, main samjha abhi. Abhi, abhi samajh gaya. Yeh, uhh, yeh dekh. Ghar aa gaya, maa. Huh? Aaja, baith, baith. Uhh, aaah. Ah, ah. Pahunch gaya. Bahut kuchh karne ka hai abhi. Mary, Krishnan, Shiksha, Munna, bijli laane ka hai gaav mein, bijli. Maa, maa. Tere haath ka bana roti achha lagta hai mujhe. Roti khilaayegi na, maa? Yeh, dekh yeh haath, saaf ek dum, saaf. Isko dho diya main. Main bura aadmi nahi hai, main, gunda nahi hai main. Main gunda nahi hai.
Vijay breathes his last in his mother's lap. Family members rush to the scene.
Bhaiya. Uh, huh, huh.
Uh huh, huh.
Uh huh, huh, bhaiya.
Nahi, nahi, nahee.
Krishnan fires shots in the air.
Krishnan Iyer:
Nahee, nahi, nahi. Kya karti tum? Arey kya karti? speaking heavenwards Tum humko kuchh nahi diya. Ek bhai banaati, usko bhi chheen liya. Kya karti tum? Arey, paanch minute. Bhai ko boli thi main paanch minute pehle pahunchegi. Arey, arey tum paanch minute nahi ruk sakti? Arey, paanch minute. Huh, huh, huhuh.
Uh, huh.
Suhasini Chavan:
Mera beta gunda nahi hai. Gunda nahi hai. Tu gunda nahi hai, mere bete. Tu gunda nahi hai. Uh, huh, uh huh huh huh.