Scene #36 - Yeh Vijay Chauhan tumhare saamne haath jodta hai
Bhaago! Aah!
Kaancha Cheena's men attack with swords. Krishnan sees the men and comes to the scene.
Krishnan Iyer:
Bhai! Bhai!
Aah!
Nahi! Yeaai!
Krishnan Iyer:
Bhai.
Uh, yeaai, yeaai, Krishnan.
At a hospital.
Vijay Dinanath Chavan:
Sambhaal ke le chalo, sambhaal ke. Sambhaal ke, haan, chalo. Krishnan, Krishnan, jaana nahi. Jaana nahi, Krishnan. Kuchh nahi hoga. Jaan chhodna nahi tum. Tum jaan chhodna nahi. Kidhar, kidhar, kidhar hai doctor? Aye, dekh doctor, isko bahut maar laga hai, iska jaldi ilaaj karo. Krihnan, Krishnan, kuchh, kuchh nahi hoga, kuchh nahi hoga tumko. Hum hain, hum hain na, tum... Aye, chalo.
Dekhiye mister, yeh ek police case hai. Aap pehle police mein report darj keejiye. Uske baad hum isey haath lagaayenge.
Vijay Dinanath Chavan:
Lekin, aye, itna time nahi hai iske paas. Itna time nahi hai. Iska ilaaj nahi kiya to yeh mar jaayega.
To hum kya kare? What can I do?
Aye! Kya bola tum, hhaein? Kya bola tum? Kisse baat karta hai tum, malum? Vijay Chauhan se. Isko kuchh ho gaya, saala hum tumko idhar hi dafna dega. Malum? Idhar hi dafna dega main. Yeh kaun hai malum? Yeh mera bhai nahi, yeh mera dost nahi, usse kahin jyaada hai, kahin jyaada, samjha? Yeh, yeh meri, meri behen ka honewala...
Krishnan Iyer:
Bhai.
Aye doctor, tum, hhaein, tum kuchh karo. Kuchh karo, doctor. Hhaein? Kya chahiye tumko? Kya mangta hai tum? Mera khoon chahiye? Paisa chahiye? Main, main dega, main dega tumko doctor, lekin, yeh, yeh khatam ho gaya na, to, to main bhi khatam, main khatam ho jaayega. Yeh gunda nahi hai, gunda nahi hai yeh. Yeh meri maa ka, meri maa ka achha beta hai, achha beta hai. Samjha? Kuchh, kuchh, kuchh karo doctor tum. Hhaein? Main, main haath jodta hai tumhare saamne, yeh dekho. Yeh Vijay Chauhan tumhare saamne haath jodta hai. Kuchh karo, doctor tum. Tum kuchh karo.
Ok, ok, ok. Nurse, isey operation theatre mein le chalo.
Vijay Dinanath Chavan:
Aye, le chalo, le chalo. Sambhaal ke, sambhaal ke.
Vijay wipes away tears from his cheeks. He notices a buoquet of flowers.
Saab, aapke liye card hai.
He sees the bodies of Shanti, Pathan and his henchmen, while reading Kancha's card. Following the stretchers, he meets Gaitonde in the hallway.
Commissioner Gaitonde:
Vijay, main vaada karta hoon. Mere bas mein jitni taakat hai, saari laga doonga. Saari taakat laga doonga unhe chhudvaane ke liye. I promise you. Kuchh nahi hoga unhe. Kuchh nahi hoga.
Vijay Dinanath Chavan:
Kya bolta hai tum, hhaein?
Commissioner Gaitonde:
Vijay, tumhe malum nahi? Tumhari maa Kancha Cheena ke kabze mein hai. Tumhari maa, behen, biwi, bachcha, sab uske kabze mein hai.
Vijay Dinanath Chavan:
Huh. Huh, huh. Agneepath. Agneepath. Agneepath.
Commissioner Gaitonde:
Vijay, waqt aane par tumne meri madad kee. Ab main peechhe nahi hatoonga.
Vijay Dinanath Chavan:
Nahi, commissioner. Tum beech mein nahi aayega. Beech mein nahi aayega tum.