Deewaar

Scene #4 - Aap chaahe to mujhe is jurm se rok sakte hain

At the protest demonstration.
Workers:
Humaari maange poori karo. Humaari maange poori karo. Humaari maange poori karo. Humaari maange poori karo. Humaari maange poori karo. Humaari maange poori karo. Humaari maange poori karo. Humaari maange poori karo. Humaari maange poori karo...
Worker:
Arey ee dekho. Yeh hai woh sasura Keshav ka dalaal. Arey, chamche...
Munim:
Bhaiyo, bhaiyo. Seth log aapse samjhauta karne ke liye taiyyaar hain. Aap log apne leader ko bhej deejiye jo aap sab ki taraf se dastkhat kar sake.
Workers:
Anand Babu, zindabad. Anand Babu, zindabad.
Kamal Kapoor as Seth Bhadriprasad
Seth Bhadriprasad:
Aiye, Anand Babu.
Satyendra Kapoor as Anand Verma
Anand Verma:
Namaste, sethji.
Kamal Kapoor as Seth Bhadriprasad
Seth Bhadriprasad:
Baithiye. Maine samjhaute ke kaagazaat taiyyaar karva liye hain. Yeh dekhiye.
Satyendra Kapoor as Anand Verma
Anand Verma:
Mazdooro se baat kiye bina hi aapne samjhaute ke kaagazaat taiyyaar karva liye?
Kamal Kapoor as Seth Bhadriprasad
Seth Bhadriprasad:
Aap file dekhne ke baad dastkhat keejiye.
Has an annoyed time while flipping through the file.
Satyendra Kapoor as Anand Verma
Anand Verma:
Sethji, kya aapne yeh mazaak karne ke liye mujhe andar bulaya tha? Is file mein tamaam wohi baatein hain jinpar main pehle bhi dastkhat karne se inkaar kar chuka hoon.
Kamal Kapoor as Seth Bhadriprasad
Seth Bhadriprasad:
Anand Babu, aapne ab poori file nahi dekhi. Ek panna aur ultiye, dekhiye to sahee.
Sees a photo of his wife and kids captured by some goons.
Satyendra Kapoor as Anand Verma
Anand Verma:
Sethji!
Kamal Kapoor as Seth Bhadriprasad
Seth Bhadriprasad:
Anand Babu, main business man hoon. Mujhe bhi yeh hathkande pasand nahi, lekin kabhi kabhi aap jaise aadmi mujhe majboor kar dete hain.
Satyendra Kapoor as Anand Verma
Anand Verma:
Mere biwi bachche kahan hain?
Kamal Kapoor as Seth Bhadriprasad
Seth Bhadriprasad:
Jahan bhi hain, abhi bahut aaraam se hain.
Satyendra Kapoor as Anand Verma
Anand Verma:
Aap jaante hain Sethji ki aap kitna bada jurm kar rahe hain?
Kamal Kapoor as Seth Bhadriprasad
Seth Bhadriprasad:
Ha ha ha ha. Aap chaahe to mujhe is jurm se rok sakte hain. In kaagazaat pe dastkhat kar deejiye. Kal aapke biwi bachche hifaazat se aapke ghar mein pahunch jayenge.
Satyendra Kapoor as Anand Verma
Anand Verma:
Aur agar main dastkhat na karu to?
Kamal Kapoor as Seth Bhadriprasad
Seth Bhadriprasad:
Aur to kuchh nahi, sirf is tasveer ke tukde tukde kar doonga main.
Satyendra Kapoor as Anand Verma
Anand Verma:
Tum mujhe dhamki de rahe ho?
Kamal Kapoor as Seth Bhadriprasad
Seth Bhadriprasad:
Ha ha ha ha ha ha ha ha ha. Is aadmi ko shaayad tum nahi jaante. Is ko Bachan Singh kehte hain. Do baar jail jaa chuka hai aur woh bhi khoon ke ilzaam mein. Ek baar to isne saat saal ke bachche ka gala daba diya tha.
Satyendra Kapoor as Anand Verma
Anand Verma:
Bhadriprasad!!
Kamal Kapoor as Seth Bhadriprasad
Seth Bhadriprasad:
Sun raha hoon.
Satyendra Kapoor as Anand Verma
Anand Verma:
Mujhe apne biwi bachche chaahiye.
Kamal Kapoor as Seth Bhadriprasad
Seth Bhadriprasad:
Aur mujhe dastkhat chahiye.
Has a hard time in making a decision, but finally puts the signature. Then, goes outside.