Deewaar

Scene #1 - Ab woh medal diya jaa raha hai

At the awards ceremony.
Manmohan Krishna as DCP Narang
DCP Narang:
Ladies and gentlemen, ab woh medal diya jaa raha hai jis medal ko seene pe lagaane ki aarzoo har police officer ke dil mein hoti hai. Yeh medal har saal us police officer ko diya jaata hai, jo officer, na sirf apni duty karta hai, balke us duty aur apne kartavya se kahin zyaada aage badhkar kanoon ki hifaazat karta hai. Is saal woh medal hamaare honhaar officer, sub inspector Ravi Verma ko diya jaa raha hai.
Applause.
Shashi Kapoor as Ravi Verma
Ravi Verma:
Janaab minister saahab, my senior officers, dosto... main jo kehna chaahta hoon koi nayi baat nahi hai. Aksar aise mauko par log yehi kehte hain ki aapne jo izzat mujhe dee hai main uske kaabil nahi hoon. Yeh baat alag hai ki yeh baat log dil se nahi kehte, lekin aksar, yeh baat sach hoti hai. Duniya har bade kaam ke peechhe kisi insaan ko dekhti hai, use izzat deti hai, lekin us insaan ke peechhe bhi kuchh aur insaan hote hain, jinhe koi nahi dekhta, koi nahi jaanta, jinka naam kisi kitaab, kisi akhbaar, kisi gazette mein nahi chhapta. Main yeh medal lene se pehle uska naam lena chaahta hoon jiske bina main woh nahi kar paata jo maine kiya. Ladies and gentlemen, woh naam hai, Sumitra Devi, jo khushkismati se, meri maa hai.
Applause.
Shashi Kapoor as Ravi Verma
Ravi Verma:
Jis kaam ke liye mujhe yeh medal diya jaa raha hai, woh kaam beshak in haatho se hua hai, lekin in hatho mein shakti meri maa ki thi. Isliye main ijaazat chaahoonga, ki yeh medal meri taraf se meri maa aake sweekaar kare.
Police man:
Chaliye, madam. Aaiye. Chaliye.
Applause. Moves into an applause in flashback.