Aaj hamari is hadtaal ka gyaarvaah din hai. Lekin lagta hai ki ab tak in koyle ke khaano ke maalik yeh bhi nahi samajh sake ki hamaari maange kya hain. Woh samajhte hain ki hum unki daulat chheen lena chaahte hain. Aisa nahi hai. Woh samajhte hain ki hum unki tarah ameer ban jaana chaahte hain aur unhe apni tarah gareeb bana dena chaahte hain. Aisa bhi nahi hai. Hum to sirf itna chaahte hain ki jo mazdoor zameen ki tehon se koyla nikaalta hai, uska apna chulha indhan ko na tarse. Aur hum to sirf itna chaahte hain ki humaari zindagi mein barso se chhaayi yeh koylo se zyaada kaali raat dhal jaaye, khatm ho, aur ek nayi subah aaye.
Workers:
Anand Babu, zindabad... Anand Babu, zindabad...
Anand Verma:
Aur woh subah us din aayegi jab mazdooro ko unke adhikhaar, unke mehnat ka theek silaah milega. Unke beemari ke liye haspataal, unke bachcho ke liye achhe school honge. Saathiyo, agar is waqt meri awaaz un maaliko tak pahunch rahi hai to woh sun le ki hamen yeh shikaayat nahi hai ki unke drawing room ke guldaan phoolon se kyon saje hain. Hamen yeh shikaayat hai ke hamaare aate ke kanastar khaali kyon hain. Hamen yeh shikaayat nahi ki yeh koyle ki khaane unke liye sona kyo ugal rahi hain, hamen yeh shikaayat hai ki hamaare hisse mein sirf brass kyon aati hai. Agar is waqt meri awaaz un maaliko tak pahunch rahi hai to woh sun le ke yeh hadtaal us waqt tak khatm nahi hogi jab tak hamaare dum mein dum hai.
Workers:
Anand Babu, zindabad...
At the boss' drawing room.
Seth Bhadriprasad:
Hmm, bolta achha hai yeh.
Bachan Singh:
Kahiye to chup karaadu?
Seth Bhadriprasad:
Nahi, Bachan Singh. Aisi galti kabhi nahi karna. Agar leader ki sahee waqt par maut ho jaaye, to hamesha ke liye amar ho jaata hai. Uska to zyaada zinda rehna hi uske liye maut hai.
Bachan Singh:
To phir bataaiye kya kare. Kambhakt rishwat bhi to nahi leta.
Seth Bhadriprasad:
Paisa nahi to kuchh aur sahee. Har insaan ki koi na koi kamzori zaroor hoti hai. Ek dukhti nas, jis par unglee rakh do, to apne tamaam usoolo ka sauda karne ke liye taiyyaar ho jaata hai. Lekin sawaal sirf itna hai ki Anand Babu ki aisi kaun si kamzori hai.