Deewaar

Scene #43 - Agar koi haath ki saari lakeere mita de

At the cremation.
Pandit:
Antim pind daan dena hai. Chita ko agni dikhaani hai. Bada beta kahan hai?
Vijay arrives in his car. He picks up a burning stick and puts it to the chita. As he does that, he sees on his arm the tattoo. He goes to his mother to offer condelences but she shies away.
Nirupa Roy as Sumitra Devi
Sumitra Devi:
Uh, hhh. Uh, hhh. Uh, hhh. Uhh, hh.
At Anita's house.
Parveen Babi as Anita
Anita:
Vijay, kya kahoo tumse? Tumhara bhai tumhe chhod ke chala gaya. Tumhari maa tumse naaraaz ho gayi. Har dukh mein maine tumse yehi kaha ki aur mat ro. Lekin aaj, aaj main yeh bhi kaise keh sakti hoon, Vijay? Aaj jo tumhare saath hua hai...
Amitabh Bachchan as Vijay Verma
Vijay Verma:
Aaj kuchh nahi hua, Anita. Mera baap to bees saal pehle mar chuka tha. Aaj to sirf usey jalaaya gaya hai.
Parveen Babi as Anita
Anita:
Vijay. Ek baat kahoo, Vijay? Isey, isey plastic surgery se mita do, Vijay. Varna kabhi nahi bhool paaoge.
Amitabh Bachchan as Vijay Verma
Vijay Verma:
Agar koi haath ki saari lakeere mita de, to kya uski kismat badal jaayegi? Yeh sirf mere haath pe hi nahi, mere dil, dimaag aur atma par likh dee gayi hai. Yahan se isey duniya ki koi bhi plastic surgery nahi mita sakti. Yeh kabhi nahi mit sakta, Anita, kabhi nahi.
Anita kisses the tattoo.
At Ravi's house.
Shashi Kapoor as Ravi Verma
Ravi Verma:
Achha, maa.
Nirupa Roy as Sumitra Devi
Sumitra Devi:
Jaa raha hai, beta?
Shashi Kapoor as Ravi Verma
Ravi Verma:
Haan, maa. Maa, tum doctor ke paas gayi thi?
Nirupa Roy as Sumitra Devi
Sumitra Devi:
Kab jaati main?
Shashi Kapoor as Ravi Verma
Ravi Verma:
Bas, maa. Yehi laaparwahi mujhe pasand nahi. Hmm, rehne do yeh sab kuchh. Kabhi to aaraam kiya karo.
Nirupa Roy as Sumitra Devi
Sumitra Devi:
Jo chinta dil ko khaati thi, woh to nikal gayi. Ab to bas aaraam hi aaraam hai. Le beta.
Shashi Kapoor as Ravi Verma
Ravi Verma:
Maa. Main jaate waqt doctor se keh doonga. Woh yahin aakar tumhara check-up kar denge.
Nirupa Roy as Sumitra Devi
Sumitra Devi:
Hmm. Tu kyon chinta karta hai re?