Vijay, tum jaante ho Saamant ko hamaare har kaam ki khabar kaise ho jaati hai? Dayaal ko dekha hoga, jo hamaare saath kaam karta tha. Woh Saamant ka aadmi tha.
Vijay Verma:
Dayaal?
Mulk Raj Daavar:
Haan. Kal raat sadak cross kar raha tha. Bechare ko truck ne maar diya.
Vijay Verma:
Daavar saahab, jis tarah hamaare beech Saamant ka aadmi informer tha, usee tarah Saamant ke aadmiyo mein kyon na ek aadmi shaamil kar diya jaaye, jo hame har baat ki khabar de sake.
Jaichand:
Maanta hoon Vijay, tumne ek baar Saamant ko maat de diya. Lekin abhi tum usey jaante nahi ho. Woh bahut chaalaak aadmi hai.
Mulk Raj Daavar:
Yeh to sach hai Vijay ki Saamant bagair chhanbeen kiye hue kisi aadmi ko kaam nahi deta. Wahan hamaare kisi aadmi ka pahunchna bahut mushkil hai.
Vijay Verma:
Agar koi aadmi... Aaj, Saamant ko sab se zyaada kya chahiye? Meri zindagi. Is liye, agar koi aadmi jaise Darpan... Darpan Saamant ko jaake kahe ki kal raat theek saadhe das baje main falhaan bar se nikloonga, nihatta, akela, sadak ke doosri taraf meri gaadi park hogi aur jab main gaadi ki taraf jaa raha hoon, Saamant ke aadmi mujhe pe hamla kar sakte hain.
Jaichand:
Aur saadhe das baje jab tum bar se nahi nikloge, to Saamant ke aadmi Darpan ko...
Vijay Verma:
Main bar se nikloonga. Aur uske baad woh log yakeen kar lenge ki Darpan hamaara dushman hai. Dushman ka dushman dost hota hai, isliye Darpan ko wahan kaam mil jaayega.
Mulk Raj Daavar:
Lekin, tum ek baat bhool rahe ho. Agar tum Darpan ke bataaye huye time pe bar si nikle, to tumhari zindagi khatre mein hogi. Woh log zaroor tumpe hamla karenge.
Vijay Verma:
Main jaanta hoon, Daavar saahab. Is hamle mein ya to main bach jaoonga, ya nahi bachoonga. Lekin dono soorto mein aapke informer Darpan ko Saamant ke aadmiyo mein jagah mil jaayegi.
At Saamant's place, Darpan gets beaten by Saamant's 2 goons.
Darpan:
Ahh! Ahh! Ahh, Ahh! Ahh! Uh, huh. Uhh.
Saamant:
Vijay ke baare mein tumne jo kuchh bataaya, kyon bataaya? Is mein tumhaara kya faayda hai?
Darpan:
Mere do faayde hain, Saamant saahab. Vijay woh aadmi hai jisne mujhe dhakke maarkar Daavar saahab ke wahan se nikalva diya. Agar aapke aadmi usey khatm kar denge, to aap se zyaada mujhe khushi hogi. Doosrey, ho sakta hai meri information se khush hokar aap mujhe apne yahan kaam de de.
Saamant:
Hmm. Agar tumhaari information sahi huyi, to ho sakta hai tumhe kaam mil jaaye. Aur agar is mein kuchh chaal huyi, to yaad rakho, saari zindagi in paao pe chal nahi sakoge.
Darpan:
Saamant saahab, meri information bilkul sahi hai. Vijay aaj raat, saadhe das baje, akele aur nihatta, Sona bar se niklega.