Yeh bhi inspector Ravi Verma ka kaam hai. Chhoti badi milaake yeh uski paanchvi raid hai, sirf do maheene mein. It's too much!
Vijay Verma:
Daavar saahab, is dhandhe mein baazi kabhi pulis ke haath lagti hai, kabhi hamaare. Yeh khel to yunhi chalta rahega.
Mulk Raj Daavar:
Lekin yeh business kaise chalega? Maine in logo se vaada kiya tha ki ek maheene mein maal supply kar doonga. Lekin, is Ravi Verma ki meherbaani se... Ab kya doo inhe?
Mulchand:
Daavar saahab, aap maal nahi de sakte, hamaare paise vaapis kar deejiye. Hum aur intezar nahi kar sakte.
Mulk Raj Daavar:
Uhh, Mulchandjee. Inspector Ravi Verma! Huh, dekh liya tum logo ne?
Jaichand:
Seedha sa kaam hai, Daavar saahab. Is pulis officer ko udaa do. Kya khayaal hai, Vijay saahab?
Vijay Verma:
Ek police officer ko maar ke kya hoga? Doosra aa jayega.
Jaichand:
Lekin yeh kya zaroori hai ki doosra bhi itna hoshiyar hoga?
Mulk Raj Daavar:
Haan, yeh to hai. Ravi Verma ne akele, bagair kisee hathyaar ke, hamaare aanth aadmiyo ko maal samet pakda hai.
Jaichand:
Main abhi kehta hoon, Daavar saahab, is pulees officer ko uda do.
Vijay Verma:
Yeh bewakoofi ka mashvara apne paas rakho, Jaychand.
Mulk Raj Daavar:
Relax, Vijay, relax. Jaychand ne ek baat sochi, keh dee.
Vijay Verma:
Lekin kehne se pehle yeh to soch lena chahiye ki iska anjaam kya hoga? Police force ka ek ek constable us aadmi ka zyaati dushman ban jaata hai jisne ek police officer par hamla kiya ho.
Jaichand:
Vijay, kya sirf yehi ek vajah hai ki tum nahi chaahte ki Ravi Verma ka khoon kar diya jaaye? Aur koi doosri vajah nahi?
Vijay Verma:
Kya kehna chaahte ho tum?
Mulk Raj Daavar:
Kya fuzool baatein kar rahe ho, Jaychand? Aur kya vajah ho sakti hai?
Jaichand:
Kyon, Vijay, kya aur koi doosri vajah nahi hai? Bolo.
Vijay gets irritated by Jaychand, and so, gets up angrily.
Vijay Verma:
Haan, woh mera bhai hai!
Everyone present is amazed. Vijay grabs Jaychand's collar.