Deewaar

Scene #41 - Mere paas Maa hai

Under a bridge, Ravi lights a cigarette. In the background, 'Saare jahan se achha'. He puts the cigarette down as he sees Vijay approaching him in a car.
Amitabh Bachchan as Vijay Verma
Vijay Verma:
Shukar hai. Main to samjha tha ki tum yahan bhi police ki vardi mein aaoge. Mujhe aane mein der to nahi huyi?
Shashi Kapoor as Ravi Verma
Ravi Verma:
Koi baat nahi. Car se aanewaale aksar der se aate hain.
Amitabh Bachchan as Vijay Verma
Vijay Verma:
Jaante ho, Ravi, maine tumhe yahan milne kyon bulaaya?
Shashi Kapoor as Ravi Verma
Ravi Verma:
Mere ghar aana tumhari shaan ke khilaaf hai, bhai. Tumhare ghar jaana mere ussool ke khilaaf. Huh. Hum kahin aur hi mil sakte the.
Amitabh Bachchan as Vijay Verma
Vijay Verma:
Nahin, hum aur kahin nahi, sirf yahin mil sakte the. Hum ek doosre se kitne bhi alag ho jaaye, hamaare bachpan ek doosre se kabhi alag nahi ho sakte. Aaj jab hum dono ke beech ke saare pul toot chuke hain, to bas yahi ek pul bachaa tha, yeh pul, jiske neeche humne apna bachpan guzaara hai, yahan. Main jo kehna chaahta hoon, usse pehle main yeh poochh loon ki is waqt mujhe sunne waala kaun hai, ek bhai ya ek police officer?
Shashi Kapoor as Ravi Verma
Ravi Verma:
Jab tak ek bhai bol raha hai, ek bhai sun raha hai. Jab ek mujrim bolega, ek police officer sunega.
Amitabh Bachchan as Vijay Verma
Vijay Verma:
Ravi, tum nahi jaante tumne kin logo ko apna dushman bana liya hai. Aaj to maine unhe rok liya lekin, lekin kal shaayad na rok sakoo. Tum, tum yahan se transfer le lo, Ravi, kahin aur chale jaao.
Shashi Kapoor as Ravi Verma
Ravi Verma:
Mujrim bhai ka bhes badalkar bol raha hai.
Amitabh Bachchan as Vijay Verma
Vijay Verma:
Lagta hai woh deewaar jo hum dono ke beech hai, woh is pul se kahin oonchi hai. Ravi, tum nahi jaante tum jis raaste pe chal rahe ho, uska anjaam kya ho sakta hai.
Shashi Kapoor as Ravi Verma
Ravi Verma:
Jis raaste par main chal raha hoon, uska anjaam shaayad bura bhi ho sakta hai. Lekin jis raaste par tum chal rahe ho, uska anjaam sirf bura hi hota hai, bhai.
Amitabh Bachchan as Vijay Verma
Vijay Verma:
Ravi, main to apni baazi khel chuka hoon, ab haaroo ya jeetoo. Lekin tumhare paas to abhi waqt hai. Is shehar ke baahar doosre shehro mein bhi to police station hote hain. Kahin aur chale jaao.
Shashi Kapoor as Ravi Verma
Ravi Verma:
Nahi, mere ussool, mere aadarsh mujhe iski ijaazat nahi dete hain.
Amitabh Bachchan as Vijay Verma
Vijay Verma:
Uff, tumhare ussool, tumhare aadarsh! Kis kaam ke hain tumhare ussool? Tumhare saare ussoolo ko goond kar ek waqt ki roti nahi banaayi jaa sakti, Ravi. Jin aadarsho ke liye tum apni zindagi par khelne ke liye taiyyaar ho, kya diya hai un aadarsho ne? Ek char paanch sau rupye ki police ki naukri, ek kiraaye ka quarter, ek duty ki jeep, do jodi khaakhee vardi. Dekho, dekho. Yeh wohi main hoon aur yeh wohi tum ho. Hum dono ek saath is footpath se uthe the. Lekin aaj tum kahan reh gaye, aur main kahan aa gaya hoon. Aaj mere paas buildinge hain, property hai, bank balance hai, banglaa hai, gaadi hai. Kya hai tumhare paas?
Shashi Kapoor as Ravi Verma
Ravi Verma:
Mere paas maa hai.
At the railway station, two coaches of a train are rammed together.