Deewaar

Scene #35 - Itni badi shiksha kisi teacher ke ghar se hi mil sakti thi

At Chandar's house.
Shashi Kapoor as Ravi Verma
Ravi Verma:
Namaste.
A K Hangal as Chandar's father
Chandar's father:
Namaste.
Shashi Kapoor as Ravi Verma
Ravi Verma:
Kya, kya main andar aa sakta hoon?
A K Hangal as Chandar's father
Chandar's father:
Haan, haan, aaiye. Andar aaiye. Maaf keejiye, maine pehchaana nahi aapko.
Shashi Kapoor as Ravi Verma
Ravi Verma:
Aap mujhse pehle kabhi nahi mile.
A K Hangal as Chandar's father
Chandar's father:
To aap Chandar ke dost honge?
Shashi Kapoor as Ravi Verma
Ravi Verma:
Hmm. Aap Chandar ke pita hain?
A K Hangal as Chandar's father
Chandar's father:
Bhaiya, woh, Chandar to hai nahi ghar mein, woh...
Shashi Kapoor as Ravi Verma
Ravi Verma:
Main jaanta hoon. Main jaanta hoon woh aspataal mein hai, pulis ki hiraasat mein hai.
A K Hangal as Chandar's father
Chandar's father:
Uh, uhh.
Shashi Kapoor as Ravi Verma
Ravi Verma:
Agar aap ko bura na lage, to main kuchh, thoda bahut laaya tha.
A K Hangal as Chandar's father
Chandar's father:
Yeh kya hai?
He unpacks the parcels and the family sees food after many days.
A K Hangal as Chandar's father
Chandar's father:
Jee, aapne bataaya nahi aap kaun hain?
Shashi Kapoor as Ravi Verma
Ravi Verma:
Jee, main... Main woh afsar hoon jisne aapke bete ko goli maari thi.
Chandar's mother:
Chale jaao! Le jaao! Nahi chaahiye hame tumhara khaana, yeh tumhara bheekh. Nikal jaao yahan se.
A K Hangal as Chandar's father
Chandar's father:
Yeh kya kar rahi ho?
Chandar's mother:
Bade aaye kanoonwaale. Bahut insaaf karte ho. Arey, kya bas nange bhookho ko goli maarne ka insaaf hai tumhaara? Kya kiya tha mere bachche ne? Apne bhookhe maa baap ke liye roti churayi thi, yehi na? Arey bade kanoon waale ho to jaao, unhe goli maaro jinhone apne godaamo mein anaaj bhar rakha hai.
A K Hangal as Chandar's father
Chandar's father:
Ratna!
Chandar's mother:
Arey, bade insaaf waale bante ho, to unhe goli maaro jo duniya bhar ke kaale dhandhe karte hain. Main jaanti hoon unhe koi kuchh nahi karta. Bas hum ko goli maari jaati hai.
A K Hangal as Chandar's father
Chandar's father:
Jaa andar. Jaa. Tu bhi, le jaa apni maa ko.
Chandar's mother:
Nikal jaa, nikal jaa mere ghar se. Nikal jaao. Nikal jaao. Nikal jaao. Nikal jaao.
A K Hangal as Chandar's father
Chandar's father:
Main bahut maafi chaahta hoon aap se. Meri biwi anpadh aurat hai. Pata nahi kya kya keh gayi. Magar mujhe aapse koi shikaayat nahi. Aap ne jo kiya, theek kiya. Bhai, chori to har haal mein chori hai, chaahe ek paise ki ho, chaahe ek laakh ki. Vaise, vaise Chandar aisa ladka hai to nahi. Shaayad, hamaari bhookh bardaasht nahi kar saka. Lekin, dekha jaaye to hindustan mein hazaaro log bhookhe marte hain, to kya sab chor ho jaaye? Bhai, hame aapse koi shikaayat nahi. Aapne jo kiya hai, theek kiya hai.
Shashi Kapoor as Ravi Verma
Ravi Verma:
Aap, kya karte hain aap?
A K Hangal as Chandar's father
Chandar's father:
Huh? Bhai, main municipal teacher tha. Pichhle saal retire hua hoon. Aajkal kuchh tution-vution kar leta hoon.
Shashi Kapoor as Ravi Verma
Ravi Verma:
Itni badi shiksha kisi teacher ke ghar se hi mil sakti thi.
Ravi touches the teacher's feet and leaves.
Next day, at the police station, Ravi marches into the DCP's office and salutes him.
Shashi Kapoor as Ravi Verma
Ravi Verma:
Sir.
Manmohan Krishna as DCP Narang
DCP Narang:
Kyon, Ravi?
Shashi Kapoor as Ravi Verma
Ravi Verma:
Sir, maine soch liya hai. Main yeh case lene ke liye taiyyaar hoon.
Manmohan Krishna as DCP Narang
DCP Narang:
Good luck.