Sir, mujhe Mulkraj Daavar aur Vijay Verma ke naam warrant chaahiye.
DCP Narang:
Ok.
Daavar leaves a hotel.
Ravi Verma:
Mr. Daavar. Aapke naam warrant hai mere paas.
Mulk Raj Daavar:
I see. Main apne lawyer ko phone kar sakta hoon?
Ravi Verma:
Hmm. Police station chal ke. Jeep laao.
Vijay comes to the scene in his car.
Ravi Verma:
Sharmajee, DCP saahab ko inform kar do ki Daavar saahab ko hiraasat mein le liya hai. Ab main Vijay Verma ko arrest karne jaa raha hoon.
Vijay, on hearing this, puts on his glasses and reverses his car from out of sight.
At the police station, Ravi is waiting, smoking cigarettes and drinking tea. The telephone rings.
Ravi Verma:
Sub Inspector Verma here. Yes? Kuchh pata nahi chala? Haan. Highways, raliway station, airport, in sab par kadi nigraani rakho. vijay Verma abhi tak isee shehar mein kaheen hona chahiye. Ok?
At Saamant's place.
Saamant:
Hmm, to police ko poora yakeen hai ki Vijay yahin kahin Bambai mein chhupa hai.
Rana:
Likha to yehi hai.
Saamant:
Rana, Vijay police ke haatho mein nahi, hamaare haatho mein marna chahiye. Maine Vijay se vaada kiya tha ki khel usne shuru kiya hai, khatm main karoonga. Agar woh police ke haath mein aa gaya, to main vaada kaise nibhaaoonga?