Sir, jin jinpe police ko shaq hai, aap unke naam aur jo kuchh bhi police unke baare mein jaanti hai, mujhe bataa de.
DCP Narang:
Naam to yeh hain, Ravi. Mujhe afsos hai inke baare mein main zyaada nahi bataa sakoonga. Yeh hai Mulkraj Daavar. Dikhaave ke liye ek hotel ke maalik, sirf dikhaave ke liye. Satrah baras pehle smuggling ke ilzaam mein yeh jail kaat chuke hain. Beech men kaafi din tak gaayab the. Lekin, sunta hoon aajkal smugglers ke circle mein inka naam kaafi izzat se liya jaa raha hai. Inke saath ek aur aadmee hai. Very interesting character. Kuchh din pehle docks pe ek mamooli sa coolie tha. Lekin aajkal, bambai ke bahut bade garage ka maalik. Main jaanta hoon yeh garage sirf police aur kanoon ko dhoke mein rakhne ke liye hai. Vaise mujhe yakeen hai Daavar ka yeh baraabar ka partner hai.
Ravi Verma:
Uska naam?
DCP Narang:
Vijay Verma.
Ravi Verma gets shell-shocked.
DCP Narang:
Inke alaava kuchh aur bhi log hain jo in donoke chaaro taraf rehte hain, jaise yeh Jaychand, Santhosh Mehta, Singhania. Yeh sab is taalaab ki chhoti chhoti machhliya hain. Lo, yeh file ab tum apne paas rakho. Ravi, are you all right?
Ravi Verma:
Yeees, sir. I am, I am all right.
DCP Narang:
Ravi!
Ravi Verma:
I am sorry, sir. Yeh file aap kisee doosre police officer ko de deejiye. Main yeh case nahi le sakta.
DCP Narang:
Case nahi le sakte? Baat kya hai? Aakhir kyon yeh case nahi le sakte? I demand an explanation.
Aap meri majboori achhi tarah samajh sakte hain. Shaayad main yeh zimmedaari achhi tarah se nibhaa na sakoo. Isliye sir, please aap yeh case kisee doosre ko de deejiye. I, I am sorry.
DCP Narang:
Mujhe tumhaari feelings ka andaaza hai. Aur main is immandaari ki kadr karta hoon, ki tumne mujhe saaf saaf bata diya. Lekin, main phir bhi chahoonga ki yeh case tumhari charge mein ho.
Ravi Verma:
Sir, lekin sir...
DCP Narang:
Haan, main yehi chahoonga. Tumne apne selection ke har test mein behatareen number diye. Air aaj tumhare saamne woh sabse bada imtehaan hai jo ek police officer ki zindagi mein kabhi kabhi aata hai. Aur tum us imtehaan se katraa kar bhaag jaana chaahte ho?
Ravi Verma:
Nahi, sir. Main is imtehaan se nahi guzar sakta. Main nahi bhool sakta ki woh mera bhai hai.
DCP Narang:
Aaj ka din soch lo. Agar uske baad bhi yeh case na lena chaaho, to main kisee aur ko de doonga. Magar, kisee bhi nateeje par pahunchne se pehle, ek baat yaad rakhna, ke jurm society mein pheli huyi woh beemari hai jiska ilaaj ek police officer apne saare zyaati jasbaat se pare hatkar, ek doctor ki tarah karta hai.
Ravi Verma:
Sir, aaj tak kisee doctor ne apne jism par khud operation nahi kiya. Lekin, phir bhi aap kehte hain, to main aaj ke din sochoonga.