Scene #21 - Babuji ki pasand ki sabzi ban rahi hai
Bang!
A man and a kid are sitting on a rock and trying to shoot birds.
Deepak:
Lo. Phir nahin lagi. Kya Chacha tum to...
Nindhi:
Haan tere baap ne to bahut sher mare hain na. Chup baith!
Deepak:
Chacha!
Nindhi:
Hmmm?
Deepak:
Tum Dadaji ko lene station jaa rahe ho na?
Nindhi:
Hmmm.
Deepak:
Main bhi tumhare saath aaoon?
Nindhi:
Baithi hai bhabhi, jaake pooch le.
Deepak:
Tum pooch lo na.
Nindhi:
Beta! Bhabhi se keh de ki main chacha ke saath ja raha hoon. Chal...chal.
Deepak:
Maa...maaa!
Rukmini:
Chhod. Sabzi kaatne de.
Deepak:
Maa. Main chacha ke saath station jaaoon?
Rukmini:
Nahin station nahin.
Ramlal:
Are bahoooo....bardhayi ko keh diya hai aake phatak bana jayega. Aur yeh lo. Yeh chironzi, yeh sabudana aur yeh...rang. Areee choti bahooo...
Radha:
Abhi aati hoon. Chaabi.
Rukmini:
Hmmm.
Radha:
Main zara mandir jaa rahi hoon. Agar koi kaam ho to...
Rukmini:
Tu jaa. Main hoon na.
Radha:
Chaliye.
Ramlal:
Laao bahu.
Deepak:
Maa...maa station jaoon?
Rukmini:
Bola na nahin.
Thakur's elder son:
Arre jaana chahta hai to jaane do.
Rukmini:
Nahin nahin wahan rail gaadiyaan aati jaati hain. Mujhe to dar lagta hai.
Thakur's elder son:
Sab rail gaadiyon ki dushmani hai tumhare sapoot se. Dekhte hi patri chhodkar peeche lag jayengi. Tum to bas. Achcha! Babuji ki pasand ki sabzi ban rahi hai..haaain. Arre jaane do use.
Rukmini:
Bigado. Hamein kya hai. Aise hi bhoot banke jaoge? Jaao naha lo. Aur phuphu se kaho...Nirmala...
Nirmala:
Jee Bhabhi!
Rukmini:
Zara Deepak ke kapde nikal de Nimmo!
Nirmala:
Jee abhi nikal deti hoon.
Rukmini:
Jaa...Ab kuchh nahin to kachchi sabzi chabane lage!
Thakur's elder son:
Jise dekho aaj kaam mein laga hai babuji ko dikhane ke liye.
Rukmini:
Haan roz to saara kaam purane bargad ki chudail karke jaati hai.
Thakur's elder son:
Arre yeh pahiya abhi tak yahin pada hai.Yeh Ramlal bhi budhape mein bilkul sirri ho gaye hain. Unse kaha tha ki baithak aur babuji ka kamra saaf kara do lekin abhi tak unka pata hi nahin.
Rukmini:
Raadha ke saath mandir gaye hain, aate honge, ho jayega.
Thakur's elder son:
Arre Nindhi...
Nindhi:
Haan bhayya...
Thakur's elder son:
Nahake tayyar ho jao. Station jaana hai ki nahin.
Nindhi:
Abhi aaya.
Thakur's elder son:
Rukmini! Samajh mein nahin aata ki is chidimaar ko Radha jaisi sushil ladki kahan se mili.
Rukmini:
Babuji se kehkar maine baat lagwayi thi. Magar mera ehsaan thode hi koi manta hai. Laakhon mein ek dewrani layi hoon. Nahin to aajkal ki bahuyein! Doli se utree aur aangan mein deewaar khadi kar de. Ab dekhna, apni Nimmo ke liye kaisa var dhoondhti hoon.