...main Belapur thane mein tha. Hamein khabar mili Gabbar Haripur gaon ko lootne aa raha hai. Sahi waqt par police pahunch gayi aur dakuon ko bhaagna pada. Aur main Gabbar ke peeche.
Gabbar is running and Thakur chasing him. After some struggle, Thakur catches Gabbar. He holds Gabbarís neck in his arms.
Gabbar Singh:
Chhod...chhod de mujhe...chhod de haramjaade.
Veeru:
Gabbar Singh, yeh haath nahin phaasi ka phanda hai.
In the court.
Judge:
Gawahon ke bayan aur tamaam sabooton ki raushni mein adalat is nateeje par pahunchi hai ki mulzim Gabbar Singh vald-e-Hari Singh ek aadi aur khatarnaak mulzim hai. Adalat use dakazani aur lootmaar ke evat dafa chaar sau taaziraat-e-hind ke tehet bees baras kaid-e-baamushakkat deti hai.
Gabbar is being taken away by policemen. They bump into Thakur.
Gabbar Singh:
Yaad rakhoonga. Tujhe yaad rakhoonga.
Thakur Baldev Singh:
Bees baras jail mein rehne ke baad, sab bhool jaoge Gabbar.
Gabbar Singh:
Duniya ki kisi jail ki deewar itni pakki nahin ki Gabbar ko bees saal rok sake. Aur jis din main bahar nikla, bahut pachtaoge thakur, bahut pachtaoge.
Thakur sahab, mubarak ho. Aapka pakda hua ek aur mujrim hamari jail mein aa raha hai.
Thakur Baldev Singh:
Aadmi bahut khatarnaak hai jailor sahab. Khayal rakhna.
Police man # 1:
Chaliye aapki chutti ki darkhaast manzoor ho gayi. Manzoor to honi hi thi. Itne dinon baad chutti le rahe hain aap.
Thakur Baldev Singh:
Khurana sahab, abki baar agar main chutti nahin leta to gharwale baatcheet karna hi band kar dete.
Police man # 1:
Kya karein hamara kaam hi aisa hai ki gharwalon ko...apne ghar mein bhi yehi problem hai. Kahiye, kaun kaun hai apake ghar mein?
Thakur Baldev Singh:
Sab hain. Do bete hain, do bahuein hain. Ek beti hai, woh bhi shaadi ke kaabil hai. Abke baar koi achcha sa ghar dekhoonga. Aur ek pota bhi hai.
Police man # 1:
Pota! Itni umar nahin lagti aapki.
Thakur Baldev Singh:
Khurana sahab, gaon mein kam umar mein hi shaadi ho jaati hai. Shaadi jaldi ho gayi to beta bhi jaldi ho gaya. Bete ki shaadi jaldi ho gayi to pota bhi jaldi ho gaya. Ab tak to saat-aanth baras ka hai.
Police man # 1:
Yaani itna bada ho gaya hai ki chutti na lene par naraz ho sake?
Thakur Baldev Singh:
Haan bilkul. Sabko manane ke liye sabke waaste kuch na kuch liye jaa raha hoon. Dekh lijiye Khurana sahab, zindagi bhar maine to rishwat nahin lee, par jab ghar jaata hoon to gharawalon ko rishwat deni parti hai.