Sholay
Scene #7 - Hamari jail mein surang
Prisoner # 11:
Hariram. Ab to yeh moochein bhi nikaal do.
Hariram Nai:
Nikaal doon?
Jaidev:
Saari tayyariyaan ho chuki hain. Kal se kaam shuru.
Veeru:
Achcha! Kitne din lagenge... surang banane ko?
Prisoner # 11:
Eeeeee. Kaat diya! Eeee.
Jaidev:
Surang banane ko? Yehi koi chhe saat din mein kaam ho jayega.
Veeru:
Surang nikaal kahan se rahe ho?
Jaidev:
Barrack number nau ke barabar se.
Veeru:
Kahin jailor ko pata na chal jaaye.
Jaidev:
Kisi ko kaan-o-kaan khabar nahin hogi.
Veeru:
Haa haa haa haa haa haa haa. Aaaao.
Hariram Nai:
Bas, ho gaya. Haan.
At the jailor's office.
Jailor:
Aao Hariram. Kya khabar laaye ho?
Hariram Nai:
Saab, hoshiyaar rahiye. Jail mein sooorang banne wali hai.
Jailor:
Aaaoooo. Jail mein surang! Kya kaha? Hamari jail mein surang!!!
Hariram Nai:
Jee haan. Kaidi jail mein soooorang bana rahe hain.
Jailor:
Aaauuuuu. Hum angrez ke zamane ke jailor hain. Hamari jail mein surang? Haaaa haaa.
Veeru heats a metal rod and covers it with a basket. Jailor comes marching with his hawaldars, stumbles on the stairs.
Notices the basket.
Jailor:
Ahhaaah! To yahan se ek surang banne wali hai. Bahut achche. Lekin tum log bhool gaye ki hamare jasoos is jail ke kone kone mein phaile hue hain.
Hariram comes and stands next to Jai, looks at him and smiles.
Jailor:
Haaa haaa. Yeh kya hai?
Kicks the basket.
Jailor:
Ooooooooooooooooooooooooo. To yeh hai surang banana ka auzaar.
Bends down to pick up the iron rod.
Jailor:
Hahaha haha hahaha. Hum angrez ke zamane ke jailoooooooaaaaaaaaaaaaaaa.
Hariram flees away from the scene.