Beta, tumhara aaj pehla din hai, sab pata chal jayega. Naya jailor bahut khadoos hai.
Veeru:
Naya jailor bahut khadoos hai.
Jaidev:
Aa raha hai.
Jailor:
Attention! Humne kaha attention.
Sipoy:
Sir woh to pehle hi se attention hain.
Jailor:
Hum jaante hain, jaante hain, jaante hain.
All the prisoners lined up, sporting their bluish-green colored uniforms. An effeminate guy - shirt number 6, Jai - 15, Veeru - 20, a short dark bald guy - 35, another guy - 31.
Jailor:
Kaidiyon, kaan kholkar sun lo. hamare aane se pehle jo kuch is jail mein hota raha hai, woh jab tak hum hain nahin chalega. no no no nonono. hum angrezon ke zamane ke jailor hain. Aajkal ke jailoron ki tarah nahin jo kaidiyon ko sudharne ki fikar mein lage rehte hain. haaahaaa. hum achchi tarah jaante hain tum log kabhi nahin sudhar sakte ho. arre jab hum nahin sudhar sake to tum kya sudhroge? Haaaaaayein? Hum jaante hain aajkal hamari baton ko pasand nahin kiya jaata isliye har jagah se hamari kuch dinon mein badli ho jaati hai. hee. lekin hamari itni badliyon ke baad bhi hum nahin badle. haaaaa haaaaa. Isliye yaad rakho, yeh mat samajhna ki jo kuch tum karte ho uski khabar hamein nahin milti. Hamare jasoos is jail mein chaaron taraf phaile hue hain.
Prisoner wearing shirt number 31 rolls his eyes and makes innocent faces.
Jailor:
Ghadi ghadi ki report hamein mil jaati hai. Hamare jaane bina yahan parinda bhi par nahin maar sakta. Aaaayein aaaayein yeh kya?
Sipoy:
Parinda, huzur. Kabootar.
Jailor:
Hamari aankh mein kuch gir pada nikalo. chodo, jaane do. Aaj ke liye itna kaafi hai. Ab tum log jaa sakte ho. Challooooo!
Veeru:
Bada ajeeb aadmi hai.
Jaidev:
Yeh Jailor ka jasoos kaun hai?
Prisoner # 6:
Main bataoon? Woh hai na apna Hariram nai. Jailor ka bada moonchadha hai muaa. Haan.