Hamein lagta hai ki tumhari samajh mein abhi tak yeh baat nahin aayi ki hamare gaaon mein kisi ke saath bhaagne ki reet bilkul nahin hai. Hamari Dhanno ijjat ke saath ghar par hai. Lekin aaj somwaar hai. Aur Mausi kehti hai - dekh Basanti jo somwar ke somwar Shivji ke mandir mein maatha tekegi to aisa pati milega tujhe ki duniya jalegi. Maine kaha haan...aisa to theek hai...nahin to mujhe kaunse kisi uthayigire se byah karna hai. Achcha main chalti hoon. Jai Ramji ki.
She leaves.
Veeru:
Theek! Jai Ramjiki (dejected)... Jai Ramjiki (excited).
Veeru leaves somewhere...Jai keeps on playing his organ. Basanti climbs the stairs of the temple.
Basanti:
Uhhhuhhnnnuhuhh! Prabhu! Sansar mein koi aisi baat to hai nahin jo tumse chupi ho. Tum to sab jaante ho. Uhhhh...dekho main yeh to nahin kehti ki tumhe yaad nahin hoga...uhhh...phir bhi apni taraf se keh dena achcha hota hai...aaj somwar hai. Bas ek chhoti si binti hai prabhu. Dekho...jara dekho...yeh taange ki lagam khenchte khenchte haath aise ho gaye hain jaise ghodi ke khur! Arre tumhare liye kya mushkil hai? Bas aisi jagah baat lagao ki Basanti raani bankar raaj kare. Yunki maja aa jaaye jindagi ka. Aage jaisi tumhari marji.
Veeru:
(out of sight, and in another voice) Kannnnnyaaaaaaa!!!
Basanti:
Yunki...yeh kaun bola?
Veeru is standing behind Shivji's idol.
Veeru:
Yeh hum bol rahe hain.
Basanti:
Prabhu tum!!! Chamatkaar ho gaya!
Veeru:
Humne tumhare liye var dhoondh liya hai kannnnyaaa.
Basanti:
Ek hi somwar mein dhoondh liya? Waah prabhu. Yunki tumne socha hai to theek hi socha hoga...lekin phir bhi agar naam bata dete...ya agle somwar aaoon? Huhhhhhuhuh...jaisa tum kaho prabhu!
Veeru:
Var ka naam hai Veeru...
Basanti:
Veeeeeru??? Prabhu, yeh meri jindagi ka sawal hai. Jaldi se kaam mat lena...bhale saat somwar aur lag jaayein. Heeh...dekhne mein to theek hai par saala bahut hosiyaari maarta hai.
Veeru:
Chuppp raho kannnnyaaaa.
Basanti:
Aahhuhuhhh...bephijool ki baat karne ki aadat to mujhe hai nahin prabhu. Aaageeeh jo tumhari aagya.
Veeru:
Yadi hamari aagya ka palan nahin kiya to saari umr kawari baithi rahogi.
Basanti:
Haan Prabhu.
A hand taps on her shoulder from behind.
Basanti:
Yunkiiiii....
She turns around to find Jai standing behind her, who signals her to be silent. He takes her by her hand, behind the idol and leaves.
Veeru:
Yunhi Dhanno ke saath taanga chalati rahogi. Hamari aagya hai ki jao aur apni mausi se khule shabdon mein keh do Veeru ko hi tumhe jeevan saathi banana hai. Aur aaj se Veeru ka aadar karna tumhara dharm hai. Isliye ki usi ke charanon mein tumhara swarg hai. Yadi tumne use prasann kiya to hum prassan ho jaayenge. Aur yadi tumne use krodhit kiya to hum krodhit ho jaayenge.
Basanti:
Achchaaaa!
Veeru:
Sshhhshsh! Isliye jaaa....ehhhehhhe...Basanti... Basanti...woh...uhhhuhhhhhuh...mmmmm....Basanti...mmmm...maine socha yunhi...
Basanti:
Tumne socha yeh ki hum to gaaon ke rehnewale hain...isliye humko to akal hai nahin aur tum hamein bana loge ullu. Tum bahut hoshiyaar samajhte ho apne aapko. Magar Basanti tum jaison ko haath mein bechkar aayegi haan. Ab tum yahan baithkar ramao dhuni. Basanti chali apne ghar.