Agneepath

Scene #21 - Apne haath dho le

Vijay sits down at the dining table.
Amitabh Bachchan as Vijay Dinanath Chavan
Vijay Dinanath Chavan:
Ahh!
Neelam as Shiksha
Shiksha:
Hmm, maa ne har cheez tumhari pasand ki banaayi hai, bhaiya.
Amitabh Bachchan as Vijay Dinanath Chavan
Vijay Dinanath Chavan:
Haan. Maa ko meri pasand achhi tarah malum hai.
Rohini Hattangadi as Suhasini Chavan
Suhasini Chavan:
Lekin tune yeh kabhi janne ki koshish kee ki maa ko kya pasand hai?
Amitabh Bachchan as Vijay Dinanath Chavan
Vijay Dinanath Chavan:
Maa ko kya pasand hai? Bolo, bolo, kya chahiye, abhi mangaa ke dega. Aye, aye Gafur. Aye.
Rohini Hattangadi as Suhasini Chavan
Suhasini Chavan:
Apne haath dho le.
Amitabh Bachchan as Vijay Dinanath Chavan
Vijay Dinanath Chavan:
Haath? Haan, haan, haan, haath dho leta hai. Haath dhone mein kya hai? Yeh abhi dho leta hai. Yeh, aah, dhul gaya. Bas, itni si baat? Hhaein? Yeh, yeh dekho, saaf ho gaya, yeh, yeh dekho, saaf, saaf ho gaya, hheh, ha ha ha ha. Ek dum dhul gaya.
Rohini Hattangadi as Suhasini Chavan
Suhasini Chavan:
Tere haath itni jaldi nahi dhul sakte, Vijay. Baap ke maathe par laga jhootha kalank mitaane ke bajaay, usey sach mein badal dena chaahta hai? Zara gaur se dekh, Vijay. Sirf tere haath hi nahi, tera shareer, teri aatma, sab mayle ho chuke hain. Yehi sabab hai baap ke aadarsho ka? Yehi inaam hai us satya ka jiske liye unhone apni jaan de dee thi? Yehi sikhaaya tha...?
Amitabh Bachchan as Vijay Dinanath Chavan
Vijay Dinanath Chavan:
Aye, maa. Maa. Maa. Jis satyavaadi masterji ka haath eent patthar se kuchal diya, us mein kaunsa mayl tha? Hhaein?! Jis bebas majboor maa ki ijjat pe hamla kiya, us par kaun sa mayl tha? Nahi jaanti? Main bataata hai. Woh mayl kamjori ka tha. Kamjori ka mayl sachchai se nahi dhul sakta, woh tumhara aadarsh se nahi dhul sakta. Yeh, yeh jo tumhara bhagwaan hai, is se nahi dhul sakta, maa. Woh dhulta hai, taakat se, taakat. Abhi bolo koi mere baap ko bura bole. Hhaein? Kisee haraamjaade ko bolo, meri behen, meri maa par aankh uthaakar daale. Daalega? Nahi. Kaat kar phenk daalega main.
Rohini Hattangadi as Suhasini Chavan
Suhasini Chavan:
Shaabaash, bete, shaabaash. Tere pitaaji kaha karte the, insaan bhi pehle jaanvar tha. Sadiya lagi usey jaanvar se insaan banne mein. Lekin tujhe, insaan se jaanvar banne mein zara bhi waqt nahi laga.
Neelam as Shiksha
Shiksha:
Maa!
Amitabh Bachchan as Vijay Dinanath Chavan
Vijay Dinanath Chavan:
Bas, bas, bas bas. Bas. Ha ha. Ho gaya khaana. Hhaein? Aaj maa ke ghar mein itna khaane ko mila ki chaar paanch maheene tak bhookh nahi lagega.
Neelam as Shiksha
Shiksha:
Uh! Bhaiya! Uh, huh huh! Bhaiya!
Amitabh Bachchan as Vijay Dinanath Chavan
Vijay Dinanath Chavan:
Chalo!
Neelam as Shiksha
Shiksha:
Bhaiya, nahi. Mat jaao, bhaiya, ruk jaao. Uh, maa ne anjaane mein pata nahi kya...
Amitabh Bachchan as Vijay Dinanath Chavan
Vijay Dinanath Chavan:
Nahi, nahi. Anjaane mein nahi, jaan boojh ke.
Neelam as Shiksha
Shiksha:
Nahi.
Amitabh Bachchan as Vijay Dinanath Chavan
Vijay Dinanath Chavan:
Jaan boojh ke maa aisi baatein karti hai. Chubhti hai maa ki baatein. Dard hota hai humko, malum? Un goliyo se bhi zyaada jo idhar laga, idhar.
Neelam as Shiksha
Shiksha:
Lekin, bhaiya.
Amitabh Bachchan as Vijay Dinanath Chavan
Vijay Dinanath Chavan:
Chalo.
Neelam as Shiksha
Shiksha:
Mubaarak ho, maa, mubaarak ho. Aaj tum phir apne bete ko ghar se baahar nikaalne mein kaamyaab ho gayi. Muhaarak ho.