Aye! Yeh chhe foot ka body ludkaane ke liye chaar inch ka goli kam pad gaya, malum? Haan.
Unknown:
Samajh gaya, Vijay bhai, samajh gaya.
Vijay Dinanath Chavan:
Abhi ek baat aur samajhne ka hai tumko. Main andha dhandha bhi andhere mein nahi karta. Baat karneka hai to saamne aaneka, saamne. Samjha? Hhaein.
He puts the receiver down and throws the telephone away.
At Vijay's house.
Krishnan Iyer:
Very good. Khaana bahut achha hai. Bhai khaane ka arrangement dekhegi naa, bahut khush hogi, he'll be happy, very happy.
Suhasini Chavan:
Yeh to aise khush ho raha hai, jaise tera bhai nahi, koi devta khaane pe aa raha hai.
Krishnan Iyer:
Amma, yeh devta to hum dekha nahi. But, yeh, yeh aajkal ka paagal duniya mein modern bhagwaan hoti na, to aisa hi hoti jaisa hamaara bhai hai. Amma, tum jaanti nahi, akkha shehar ka gareeb log bhai ka pooja karti hai. Ha ha ha.
Suhasini Chavan:
Khaak pooja karti hai!
Shiksha:
Maa, please. Bhaiya ke aane ka wakt ho gaya hai. Aur aap, mahashay, thodi der ke liye apni zubaan band rakhenge?
Vijay arrives in a white mercedes.
Shiksha:
Bhaiya!
Vijay Dinanath Chavan:
Ahh! Ha ha ha ha ha ha ha. Dekhe, dekhe, dekhe bhai. Aye tumhara chehra dekhe. Yeh kya? Hmm? Yeh hamaari Shiksha ke aankh mein aansoo kyon? Hhaein?
Shiksha:
Hah, yeh to khushi ke aansoo hain, bhaiya.
Vijay Dinanath Chavan:
Ha ha, ha ha ha. Haan. Woh ek aadmi bheja tha main tumhare paas, Krishnan Iyer...