Galti humne nahi, woh kiya, humse takkar leke. He he heheh. Tera bhai tere ko bahut pyar karta hai na? Ha ha. Huh? Karta hai na? Woh tere ko chhudaane ke vaaste yahan aayega. Lekin tu bachegi nahi. Maalum kyon? Kyonki yeh teri gori gori chamdi hum konjam konjam nikaalega.
Krishnan Iyer:
Aye!
Krishnan reprimands the guys there in Tamil.
Krishnan Iyer:
...aur tum log dekhti hai. Yeh saala mard hokar ladki ko chhooti aur tum log hasti. Arey, yeh saala hamaara jaat ko badnaam kiya. Hamaara south ko kiya, hamaara teeka ko kiya. Yeh haath dekha na. Is se main naariyal kaatati. Ab tereko kaategi hijda. Aye!
Shetty:
Illa re. Ruk jaao. Tu mereko hijda bola, gaali diya! Haan. Tu iske body ko guard karta hai na. Ab main dekhta, tere body ko kaun guard karta.
Krishnan lifts his lungi and a fight begins. Mobs in the locality throw stones to stop police from entering. At Vijay's house, his henchmen interrogate Shetty's men.
Unknown:
Bol! Kahan le gaya Shetty apun ki behen ko? Andar jaane ka rasta kahan se hai? Yahan se, yahan se, yahan se? Kahan se?
Unknown:
Maine injection de diya hai. Thodi der mein yeh hosh mein aa jaayengi.
Unknown:
Bhai. Apun ka behen Shetty ke kabze mein hai. Ek meel aaju baaju sab jhoppad patti hai. Andar jaane ke liye kam se kam hazaar, do hazaar aadmi ka muqabla karna padega. Yeh Shetty ka aadmi apun ko bataaya.
Police commissioner Gaitonde behen ko bachaane ke liye pahunch gaya hai, lekin Shetty ke aadmi usko andar nahi jaane de rahe, bhai.
Vijay Dinanath Chavan:
Baahar jaao. Baahar jaao!
He walks to his mother and places his left hand over her head. He smiles reflectively.
Vijay Dinanath Chavan:
Vijay Chauhan ka behen uthaake le gaya. Behen uthaake le gaya.
Vijay runs, followed by his men, towards Anna's hide-out. As one of Shetty's men tries to bring down a sword on Shiksha, he is shot twice by Vijay. Vijay and Shetty come face to face.
Shiksha:
Bhaiya! Uh, huh huh huh.
Vijay Dinanath Chavan:
Krishnan, Shiksha ko lekar jaao tum idhar se.
Krishnan Iyer:
Nahi. Tereko chhodke nahi jaayegi main...
Vijay Dinanath Chavan:
Bola, jaao.
Vijay's men overcome Shetty's goons.
Vijay Dinanath Chavan:
Dekho. Socho. Yeh ladka. Chingaari. Kal bada hokar hum sabko jinda jala diya, to kya karenge? Kya karenge hum?
Vijay lands punches and kicks at Shetty. Policemen make their way slowly towards the hide-out. Vijay makes 3 swishes of the sword at Shetty. He continues to land punches on the dead body. Inspector Pathan and Vijay's men pull him away.
Vijay Dinanath Chavan:
Aye. Aye! Aye! Aye! Chhodo. Abhi bolo. Bolo saala mere behen ko koi aankh uthaakar dekhega? Bolo. Kaat kar phenk daalega main. Kaat kar phenk daalega main. Saala, meri behen ko... Phaat.
Vijay goes away. Inspector Pathan extinguishes a match stick. Commissioner arrives.
Commissioner Gaitonde:
Pathan? Tum yahan kya kar rahe ho?
Inspector Pathan:
Sir, woh, mujhe khabar mili ki basti mein aag lag gayi, to main idhar aa gaya.
Gaitonde watches the burning houses and gives a right hand back slap to Pathan.
Commissioner Gaitonde:
Aag lagi nahi, balki lagaayi gayi hai. Tumne lagaayi hai, taaki sachaai is aag mein jalkar khaak ho gaaye. Saboot kanoon ke haath lagne se pehle hi jalkar koyla ho jaaye.