Scene #28 - Do sau rupya nahi hai tumhaare paas abhi is deewaar pe choona lagaane ke liye
At Kaancha Cheena's house, newspapers lie around on a table. Times of India shows Gaitonde swears to finish underworld"."
Kancha Cheena:
Shehad jahan bhi girta hai, makkhi zaroor aa sakti hai. Agar us ek makkhi ko nahi maara, to bahut saari makkhiyaan aa sakti hain, aur maahol ganda ho jaata hai.
He swats a fly sitting on tthe newspaper, on Commissioner's face in the photograph.
Kancha Cheena:
Samjha? Gora, humko Commissioner Gaitonde ka cheekh sunne ka hai.
Gora:
Heeheeheeheehee.
Kancha Cheena:
Tum Hindustan jaao. Zaroorat pade to Vijay Chauhan ka madad lo.
Vijay comes to Gaitonde's house, looking purposeful.
Commissioner Gaitonde:
Main poochh sakta hoon tum yahan kisliye aaye ho?
The wife begins to leave the room.
Vijay Dinanath Chavan:
Nahi, thehro bhabhi, tum, tum thehro, idhar, idhar thehro.
He makes himself comfortable on a red chair.
Vijay Dinanath Chavan:
Yeh, tumhara pati. Hhaein? Bahut aadarshvaadi hai, bahut bada kanoon ka pujaari hai. Hhaein? Zindagi mein kya mila isko? Karodo ka maal pakadvaaya hai. Sarkaar ne kya diya isko? Kuchh nahi. Kuchh diya? Nahi. Do sau rupya nahi hai tumhaare paas abhi is deewaar pe choona lagaane ke liye. Hai? Nahi hai. Bolo isko, yeh jo aadarsh aur kanoon ka chashma apni aankh par pehne hai, isko bolo utaarne ke liye. Kehne ko yeh shehar hai. Sirf kehno ko. Par idhar jungle ka kanoon chalta hai. Malum? Jungle ka. Choonti ko bisturiya khaa jaata hai, bisturiya ko mendhak. Mendhak ko saanp nigal jaata hai. Nevla saanp ko maarta hai. Bhediya nevle ka khoon choos leta hai. Sher bhediye ko chaba jaata hai. Idhar, har taakatvar, apne se kam ko maar kar jeeta hai, malum, maar kar.
Commissioner Gaitonde:
Keh chuke?
Vijay Dinanath Chavan:
Nahi. Abhi bahut kuchh kehne ko baaki hai. Malum? Par waqt nahi hai hamaare paas. Bilkul waqt nahi hai. Aur tumhare paas bhi waqt nahi. Samjha? Nahi hai waqt tumhare paas. Tum samajhta nahi hai. Malum?
Commissioner Gaitonde:
Samjha. Samjha. Tum aaj yahan mere ehsaan chukaane aaye ho. Ek din maine tumhe bataaya tha ki tumahre log hi tumahri jaan le lenge. Hmm? Aaj tum mujhe bataane aaye ho ki kuchh log meri jaan le lenge.
Vijay Dinanath Chavan:
Haan, haan, abhi samjha yeh, abhi samjha.
Gaitonde gets a small container from his right pocket.
Commissioner Gaitonde:
Jaante ho yeh kya hai? Chutki bhar sindoor hai. Isey meri biwi apne maang mein bhart hai, meri lambi umar ke liye. Usee ne, apne haatho se, yeh mujhe de diya hai. Har roz, ghar se nikalte waqt, main isey apne saath lekar jaata hoon, taake agar maut se mulaqat ho jaaye, to isey sindoor ki zaroorat hi nahi padegi. In chehro ko dekho. Dekho. In chehro par is faisle se dar nahi hai, fakr hai, fakr. Jaao. Jaao aur jaakar kaho un logo se ki Commissioner Gaitonde maut ke liye taiyyaar hai.
Vijay Dinanath Chavan:
Masterji. Vijay gets up. Ek dum Masterji. Master Deenanath ki tarah baat karta hai, Master Deenanath ki tarah.