Scene #27 - Tum to achha beta hai Bura to saala main hoon
Vijay comes home and sees Krishnan and Shiksha holding hands. On seeing Vijay, they release their hands. Vijay gives a left hand slap and then a right hand reverse slap to Shiksha angrily.
Vijay Dinanath Chavan:
Kya kar raha hai tum?! Hhaein?! and now in a smiling, inquiring way Aye, kya kar raha hai tum? Hhaein? Kya kar raha hai? Mujhse koi galti hua? Main theek se tumko bada nahi kiya? Padhai likhai mein mujhse koi kami hua? Nahi, nahi tum, tum bolo humko. Padhai likhai mein koi kami hua? Yeh beech sadak mein tum haath mein haath daalke ghoomta hai...
Krishnan Iyer:
Bhai, bhai, jo kuchh bolneka hai, mereko bolo.
Vijay Dinanath Chavan:
Aye! Beech mein bolna nahi tum. Beech mein bolna nahi. Yeh hamaare ghar ka maamla hai. Family ke baat mein beech mein aaneka nahi, samjha? now turning to Shiksha Kisliye, kisliye tumko achha bada school mein bheja? Isliye ki tum pehchaan sako ki achha kya hai, bura kya hai. Sahee kya hai, galat kya hai. Aur tum...
Suhasini Chavan:
Sahee galat ki pehchaan tum mein hai, Vijay?
Vijay Dinanath Chavan:
Maa, tum nahi jaanti, yeh Shiksha, yeh...
Suhasini Chavan:
Shiksha ne jo faisla kiya hai, us mein meri marzi bhi shaamil hai.
Vijay Dinanath Chavan:
Yeh kya keh rahi ho tum? Yeh, iska haath pakadke...
Suhasini Chavan:
Shukar hai bhagwan ka. Is duniya mein Krishnan jaisa insaan to paida hua, jo Shiksha ka haath thaamne ko taiyyaar hai. Varna uski maang mein sindoor ke bajaay tumhare naam ka kalank hi laga rehta.
Krishnan Iyer:
Aye, Amma, tum kya bolti hai? Amma, yeh bhai ko aisa nahi bolneka, kalank nahi bolneka.
Suhasini Chavan:
Kyon na bolu? Krishnan mera woh achha beta hai jiske baare mein maine kabhi socha tha.
Krishnan Iyer:
Aiaiyyo! Yeh kya... Bhai. Aye, Amma. Amma, tu kya bolti hai? Main tera woh beta nahi ban sakti na, Amma. Yeh tera beta hai, tera beta. Yeh, bhai, bhai, main, bhai, Amma gusse mein bolti na, tu maa ka achha beta hai. Main jaati. Yeh family mein main kidhar banna, main jaati. Main, main jaati...
Vijay Dinanath Chavan:
Nahi. Nahi, tum nahi jaayega. Kahan jaayega tum, hhaein? Tum to achha beta hai. Bura to saala main hoon. Main jaayega.
Krishnan Iyer:
Bhai! Bhai ko roko. Amma, Amma, bhai ko roko. Bhai!
Vijay walks towards Mary, in a church.
Vijay Dinanath Chavan:
Aaj se hamaara is duniya mein koi nahi hai. Samjha? Koi nahi. Woh hamaara family-vamily sab cut, cut. Tum, tum hai, maalum? Shaadi banayega tumhare saath. Abhi. Banayega tum, hhaein?
At home, Krishnan comes with some sweets towards mother, who is praying.
Krishnan Iyer:
Maa. Aah. Hmm, moo khol re.
Suhasini Chavan:
Kyon?
Krishnan Iyer:
Arey, mooh khol re, Amma. Khol na. Aah. Ab poochh kyon?
Suhasini Chavan:
Kyon?
Krishnan Iyer:
Apna bhai shaadi karti hai. Haan. Aye, tu ladki ko dekhi re. Hospital mein mereko khoon khoon boom maarti hai. Arey, kya re Amma, arey, woh ladki, yeh bhai ka pant change karti, kapda change karti hai, wohich ladki. Amma, tum gussa nahi karna, tera jaat waali nahi. Eh, jaat mein kya rakha re, Amma. Amma, aaj main teri kasam khaake bolti hai, ek din bhai aur bhabhi ko, dono ko saath leke aayegi. Tu apne haath se dono ko aarti vrat karegi na, Amma? Aye Amma, Amma, rone ka nahi re, Amma. Main, main teri jhoothi kasam khaayegi? Amma, teri yeh beta mar jayegi, lekin teri jhoothi kasam nahi khaayegi. Tu dekh na, Amma. Main bhabhi aur bhai dono ko saath leke aayegi. Hai na, Amma? Haan. Roneka nahi. Amma, tereko mithaai khilaya, tu mereko khila. Mereko mithaai khila abhi, khila mereko. Aah. Ho ho ho ho.