No, can't be. Impossible. Not in a place like this. No way.
Man at restaurant:
I'm telling you.
Lady at restaurant:
Excuse me.
Restaurant manager:
Yes, ma'm.
Lady at restaurant:
Hum is aadmi ke saamne baith kar khaana nahi khaa sakte. This is ridiculous.
Restaurant manager:
Would you like another seat?
Man at restaurant:
Yes.
Restaurant manager:
This way.
Man at restaurant:
Chaliye jee.
Vijay Dinanath Chavan:
Aye, kidhar jaata hai tum? Baitho. Baitho idhar. Kidhar jaata hai tum? Saala idhar baithne mein tumko takleef hota hai. Hhaein? Hum idhar aa kar ke baith gaya, tumko idhar baithne mein takleef hota hai. Neeche angaar laga hai kya tumhare? Bolo. Hum kya insaan nahi lagta hai tumko? Hhaein? Insaan nahi lagta hai? Hum saala jaanvar hai? Hamaara huliya theek nahi hai? Yeh kya saala tumhara baap ka maal hai? Apna paise se kamaaya main yeh. Samjha? Aye, tum, kya dekhta hai? Hhaein? Kya dekhta hai tum? Abhi saala chup kaiku hai? Main idhar aaya, saala tum log chup ho gaya? Apna mehnat ka kamaayi se idhar aaya main. Samjha? Jhoota polish kiya main. Tum kabhi kiya jhoota polish? Nahi. Phatka maara main gaadi ko. Abhi baat karta hai. Jaata kidhar hai tum!
Mary Mathew:
Vijay.
Vijay Dinanath Chavan:
Nahi. Nahi. Bolna kya chaahta hai yeh log? Kya bolna chaahta hai? Yeh log sab sahee hai, saala main galat hai? Hhaein? Yeh saala ooncha society ka log, yeh log sab achha log hai, main saala gunda. Hhaein? Main gunda hai.
Restaurant manager:
Excuse me, sir.
Vijay Dinanath Chavan:
Kya hai?
Restaurant manager:
Damn it!
Vijay Dinanath Chavan:
Aye, tum. Kya Englis bota hai hamaare saath. Hhaein? Kya Englis bolta hai? Yeh saala nuksaan ho gaya, paisa bharne ka hai na? Yeh le, le, kitna paisa chahiye tumko? Le, yeh le, paisa le tu, kitna paisa chahiye. Saala nuksaan ho gaya. He pushes the entire cart over. Aye, kaat lena is mein se.
They leave the hotel and arrive to meet a mob praising Vijay.
Crowd:
Bhai! Bhai, aap ne ek nek kaam kiya hai, bhai...
Vijay Dinanath Chavan:
Gunda hai? Hhaein? Main gunda hai? Usko samjhane gaya uska jaan khatre mein hai, woh bachcha ko bola ki main, main gunda hai. Gunda hai. Main bataayega. Abhi main saale ko bataayega, gunda kya hota hai.