Kaiku sudhrega? Yeh duniya bahut bigdi huyi hai, Gaitonde saahab, hhaein? Is duniya mein jinda rehne ke liye bigda hua hona bahut jaroori hai. Jo sudhar gaya woh gaya...
snaps his fingers
Vijay Dinanath Chavan:
...oopar. Malum? Hhaein?
Commissioner Gaitonde:
Yeh naseehat tum un bhatke huye naujawano ko dena jo aajkal tumhe apna devta maante hain, tumhaari pooja karte hain, bhai, bhai kehkar pukaarte hain. Vijay Chauhan, tum apni maut ki taraf chal nahi, balke daud rahe ho, kyonki tumhare bosses jinke liye tum kaam karte ho, unhe naa sunne ki aadat nahi hai, aur tumne to unhe bhi naa kehna seekh liye hai.
Vijay Dinanath Chavan:
Is duniya mein tarakki karne ke liye naa bolna bahut jaroori hai, commissioner.
Commissioner Gaitonde:
Is tarah ki tarakki tumhare liye bahut khatarnaak hogi, Vijay. Tum unke saath har jurm mein shaamil ho. Sirf drugs ke dhandhe ke liye tumne unhe naa keh diya hai, kyonki tum drugs se nafrat karte ho, aur main bhi. Dekho, Vijay, main tumhari madad karna chaahta hoon.
Vijay Dinanath Chavan:
Nahi, nahi, nahi. Hum ko tumhaara madad ka jaroorat nahi hai, samjha? Kya kehna chaahta hai tum? Hhaein? Tum kehna kya chaahta hai? Ki woh log meri maut ka din aaj muqarrar kiya hai? Hhaein? Lekin mujhko maalum hai ki woh kaunsa waqt muqarrar kiya hai. Haan. Yeh, yeh, yeh dekho, yeh tumko dikhaata hai. Yeh, yeh, ...
gets out a black diary from his right coat pocket and flipping through the pages, shows the day's appointment.