Hum ko kabhi kya karna hai humko malum hai. Samjha? Das saal se yahaan likh likh ke ghis raha hai. Humko sikhaavat chala hai? Chal bhaag yahan se.
Vijay:
Saala, rishvat leta hai.
Unknown:
Ha ha, ha ha ha ha ha.
Policeman:
Arey! Arey dekho zara. Pidda bhar ka chhokra, itna bada zabaan. Abehi yeh haal hai to aagey chalke kya hoga?
The boy takes a flamed torch and sets fire to the petrol pump. A police jeep comes to the scene.
At the 4 goons' lair.
Terrylene:
Kaancha Cheena ke petrol pump ko angaar kisne lagaaya? Humne find out kar liya hai.
Vijay:
Kaun lagaaya?
Terrylene:
Angaar lagaanewaala ek baara saal ka chhokra tha.
Vijay:
Baara baras ka chhokra!
Vijay:
Bahut daring chhokra hai. Us nepali ke manager ne uski mother ko touch kiya aur usne petrol pump mein aag laga diya.
Vijay:
Yeh chhokra to heere ka tokra nikla.
Vijay:
Usmaan bhai, meri baat maano, woh chhokre ko zamaanat par chhuda laavo, aur apne dhandhe par lagaa daalo.
Shetty:
Dekho, socho, yeh chhokra, aaj chingari hai, kal bada bankar hum sabko zinda jala diya to kya karenge?
Vijay:
Aye, Shetty bhai, kya bheja phiraanewaala baat kart hai? Arey, aise aadmi ke oopar apun ehsaan karega na, to akhaa zindagi apne saamne kutte ke maafik dum hilaayega woh.
Terrylene:
He's right.
Hasmukh bhai:
Arey, Terrenjbhai, kar lo na phaisla. Shetty, tu samajhta nahi hai. Arey, woh ladke ko zamaanat par chhudaao. Arey, petrol pump jalaaya na, woh bhi hamaari credit mein aa jaayega, haan.