Scene #12 - Yeh saala idhar telephone ka ghanti bahut bajta hai
At the 4 goons' lair: telephones ringing.
Hasmukh bhai:
Aye, Usmaan. Teen ghanta baaki hai. Ek baar phir soch lo. Vijay Chauhan ko khursi chahiye ne, usko de do, locha mat karo.
Usman:
Saala, kaayar. Itna darta hai to yeh dhandhe mein kaiku aaya? Agar Vijay ko aaj tu yeh khursi de dega na, to drugs ka dhandha bhoolna padega, aur Kaancha se aage badhne ka sapna bhi.
Shetty:
Ab kyon rota, huh? Pehle jab maine mana kiya, to bola woh bachcha zindagi bhar kutta ki tarah dum hilaayega, huh, dum? Hilaaya na dum? Saala, hum ko naa bola, humko!
Terrylene:
So what, Mr. Anna Shetty. Six o clock. Chhe baje, hum log usko khatam kar dega. We'll finish the bastard.
Vijay comes to the scene with hands in trouser pockets.
Unknown:
Uhh!
Usman:
Kya re? Vijju. Aa na, Aaa.
Hasmukh bhai:
Aye bhai, aa na, baahar kyon khada hai? Tere ko khursi maangta hai na? Heh? Yeh, yeh, yeh le khursi.
Usman:
Haan, le na, Vijju. Apun sab ka to umar ho gaya hai. Sabka paav latak raha hai kabar mein. Aa na bhai, le na.
Vijay sits on a table and unbuttons his coat to reveal a revolver.
Vijay Dinanath Chavan:
Yeh saala idhar telephone ka ghanti bahut bajta hai. Hhaein? Ha ha ha ha. Galat cheez banaaya telephone. Udhar se aadmi sochta kuchh hai, bolta kuchh hai, karta kuchh hai, jaise tum log.
Hasmukh bhai:
Nahi bhai, kisee ne galat khabar diya hai.
Vijay Dinanath Chavan:
Nahi. Idhar aao.
Hasmukh bhai:
Main...
Vijay Dinanath Chavan:
Idhar aao! Tum galat khabar diya humko. Humko ludkaane ka program banaata hai, phir humko idhar dekhne ke baad bolta hai khursi par baitho, hhaein? Humko ludkaane ka hai to ludkaao. Hum khaayega tumhara goli. Idhar, yeh idhar, seene pe khaayega hum. Hum mar gaya to yeh khursi bhi tumhara, dhandha bhi tumhara. Hum bach gaya to... Ha ha ha ha haa.
Vijay begins to leave. He turns with the revolver in his right hand. All the goons are startled. He puts the revolver on the desk. The goons breathe a sigh of relief.
Vijay Dinanath Chavan:
Tumhara hamara ladaayi mein jeet iska nahi...
pointing to the gun
Vijay Dinanath Chavan:
...iska hoga.
pointing to the lines on his forehead, depicting fate