Haan, beta. Saat sau chhiyaasi. Hum logo mein isey bahut mubarak samajhte hain. Woh jaise hota hai na woh Om. Vaise hi, saat sau chhiyasi.
Vijay Verma:
Kya matlab hai saat sau chhiyasi ka?
Raheem Chacha:
Saat sau chhiyasi ka matlab hai beta, uh, Bismillah, shuru karta hoon Allah ke naam se. Bahut mubaarak cheez hai beta. Badi barkat hai is mein. Is bille ko hamesha apne saath hi rakhna.
Supervisor:
Chalo, yeh samaan uthaao.
Raheem Chacha:
Arey, Gangu.
Gangu:
Salaam, chacha.
Raheem Chacha:
Arey, tumne bhi mujhe chacha keh diya. Ha, aise nahi uthaate, beta. Aise uthaate hain. Samajh gaya?
Raheem chacha moves back to talk to Vijay.
Raheem Chacha:
Main bhi isee umr ka tha jab maine cooliegiri shuru kee thi.
Vijay Verma:
Raheem chacha, kitne saal ho gaye aapko yahan? Aapke dekhte dekhte to sab kuchh badal gaya hoga.
Raheem Chacha:
Kuchh nahi badla. Pehle bhi bojh uthaate the. Aaj bhi bojh uthaate hain. Pehle bhi mawaali the jinhe hafta diye bagair koi coolie kaam nahi kar sakta tha. Aur aaj bhi hafta dena padta hai mujhe. Log kehte hain zamaana badal gaya hain. Shaayad badal gaya ho. Maine to sirf hafta lene waale badalte dekhe hain.