Scene #9 - Lambi race mein to aisa ghoda jeetata hai
Vijay does boot polishing.
Mulk Raj Daavar:
Do race book dena.
Jaichand:
Aur, doosri race mein?
Mulk Raj Daavar:
Doosri mein, Royal Saluto Hallabulla.
Jaichand:
Royal Saluto Hallabulla. Chances achhe hain.
Mulk Raj Daavar:
Aur chhathi race mein?
Jaichand:
Manga.
Mulk Raj Daavar:
Theek hai, lekin lambi race ka ghoda nahi hai.
Jaichand:
Kyon?
Mulk Raj Daavar:
Lambi race mein to aisa ghoda jeetata hai jo pehle peechhe peechhe bhaagta hai. Aur aadhi race ke baad jab speed pakde, to sab ko peechhe chhodta hai.
Vijay:
Ho gaya, saab.
Mulk Raj Daavar:
Jaychand, paise do.
Jaychand tosses the coin to Vijay.
Vijay:
Saab, hum boot polish karta hai, koi bheek nahi maangta. Paise uthaakar haath mein do.
Jaichand:
Arey, Daavar saahab. Suna aapne?
Mulk Raj Daavar:
Suna Jaychand, isey paise uthaake de do.
Jaichand:
Kya?!
Mulk Raj Daavar:
Haan, ise paise utha ke de do.
Jaychand picks up the coin, and thrusts it into Vijay's hand.
Mulk Raj Daavar:
Jaychand, yeh lambi race ka ghoda hai.
Jaichand:
Jee?
Mulk Raj Daavar:
Tumne is ladke ke tevar dekhe? Yeh umr bhar boot polish nahi karega. Jis din zindagi ki race mein isne speed padki, yeh sab ko peechhe chhod jayega. Meri baat ka kyal rakhna. Ek din yeh ladka kuchh banega.
In Ravi's class at school.
Teacher:
Dekhna, yeh ladka ek din zaroor kuchh banega. Har subject mein sabse zyaada number class mein isee ke aate hain. Shaabaash bete, jaao, apni jagah baith jaao.