Deewaar
Scene #8 - Main bhi koi kaam karoonga
A calendar shows the streets of Bombay, and Marine Drive. The mother and kids walk along this place.
Vijay:
Maa, hum log yahan rahenge kaise? Khana kaise khayenge?
Sumitra Devi:
Main jo hoon, tumhari maa.
At a construction site.
Munshi:
Arey zara dekh ke chala kar. Aye, haye.
They spend the night on the footpath. Next morning.
Sumitra Devi:
Vijay, Vijay.
Sumitra Devi:
Ravi kahan chala gaya? Yahin to so raha tha.
Vijay:
Yehi kahin hoga. Main abhi dekhta hoon.
At a school: 'Saare jahan se achchha...'.
Vijay:
Yeh raha, maa. Maa, tum ro kyo rah ho?
Sumitra Devi:
Rou nahi to kya karu? Main to itna bhi nami kamaa paati ki tum dono ko padha saku.
Vijay:
Tum itna nahi kamaati ho ki hum dono ko padha sako. Lekin hum dono milkar itna to kamaa sakte hain ki Ravi ko padha sake. Main bhi koi kaam karoonga.
Sumitra Devi:
Vijay, mere bete. Lekin, tu to abhi bachcha hai. Tu kya kaam karega?