Deewaar

Scene #19 - Main aaj bhi phenke hue paise nahi uthaata

At the docks, outside.
Daavar's driver:
Aye, aye. Haan, haan, tum. Tumko saahab bula raha hai.
Iftekhar as Mulk Raj Daavar
Mulk Raj Daavar:
Tumhara hi naam Vijay hai?
Amitabh Bachchan as Vijay Verma
Vijay Verma:
Haan.
Iftekhar as Mulk Raj Daavar
Mulk Raj Daavar:
Tumhi ne Saamant ke aadmiyo ko unke ghar mein ghus ke maara tha?
Amitabh Bachchan as Vijay Verma
Vijay Verma:
Kaun Saamant?
Iftekhar as Mulk Raj Daavar
Mulk Raj Daavar:
Docks pe kaam karne wale coolieyo se zabardasti liya gaya paisa jiski tijori mein jaata hai. Saamant se meri bhi dushmani hai. Tum chaaho to hum ek doosre ki madad kar sakte hain.
Amitabh Bachchan as Vijay Verma
Vijay Verma:
Kis tarah?
Iftekhar as Mulk Raj Daavar
Mulk Raj Daavar:
Baitho. Baith jaao, daro mat. Mujhe apna dost hi samjho.
Amitabh Bachchan as Vijay Verma
Vijay Verma:
Dosto ke naam bhi hote hain.
Iftekhar as Mulk Raj Daavar
Mulk Raj Daavar:
Mera naam Daavar hai. Ram Singh, gaadi chalaao.
Amitabh Bachchan as Vijay Verma
Vijay Verma:
Hmm.
At Daavar's lair.
Iftekhar as Mulk Raj Daavar
Mulk Raj Daavar:
Docks aur usee tarah kayee millo ke mazdooro se zabardasti paisa vasool karne ke alaava, Saamant aur uske aadmiyo ke doosre dhandhe bhi hain. Sharaab ki bhattiya, jue ke adde, smuggling, aur doosre smugglers ka saamaan lootna.
Amitabh Bachchan as Vijay Verma
Vijay Verma:
Yahan se aapki aur uski dushmani shuru hoti hai.
Iftekhar as Mulk Raj Daavar
Mulk Raj Daavar:
Hmm. Mera sona Dubai se aata hai, jiski khabar pata nahi kaise Saamant ko ho jaati hai. Teen baar Saamant aur uske aadmi mera laakho ka sona loot chuke hain. Mujhe ek aise aadmi ki zaroorat hai jo steamer se utarne ke baad godown tak pulees aur Saamant ke aadmiyo se mere sone ki hifaazat kar sake. Vijay, mujhe tumhari zaroorat hai, aur main tumhari har zaroorat poori kar sakta hoon. Manzoor hai? Kya dekh rahe ho?
Amitabh Bachchan as Vijay Verma
Vijay Verma:
Dekh raha hoon, saamne footpath par, ek majboor aurat, do masoom bachche, bhook se nidhar, besahara. Mujhe aapka sauda manzoor hai Daavar saahab.
Iftekhar as Mulk Raj Daavar
Mulk Raj Daavar:
Good. Vijay, aaj tumhare naye kaam ka pehla din hai. Yeh lo, rakho.
Amitabh Bachchan as Vijay Verma
Vijay Verma:
Daavar saab, bahut saal pehle aap race khelne jaaya karte the. Aur hamesha ek jagah gaadi rok kar apne joote polish karvaate the.
Iftekhar as Mulk Raj Daavar
Mulk Raj Daavar:
Haan, kyon?
Amitabh Bachchan as Vijay Verma
Vijay Verma:
Main aaj bhi phenke hue paise nahi uthaata.
Iftekhar as Mulk Raj Daavar
Mulk Raj Daavar:
Oh! I am sorry.