Deewaar
Scene #20 - Pulis mein bharti ho jaao
At Veera's house.
DCP Narang:
Ram Singh, yeh file aur topi meri mez pe rakh dena.
DCP Narang's driver:
Achha, saab.
DCP Narang:
Aur dekho, woh briefcase le jaana mat bhoolna.
DCP Narang's driver:
Jee.
Ravi Verma:
Namaste Naagar saahab.
DCP Narang:
Hi, young man.
Ravi turns to Veera.
Ravi Verma:
Oh, pakde gaye.
DCP Narang:
Kahan the itne din, Ravi? Kahan ho aaj kal? Kya kar rahe ho?
Ravi Verma:
Aap se kya chhupaana, Naagar saahab. Aaj kal main kahin nahi hoon.
DCP Narang:
Kahin nahi ho? Pulis mein bharti ho jaao.
Ravi Verma:
Jee? Main? Pulis mein? Ha ha ha ha.
DCP Narang:
Nahi, nahi, main mazaak nahi kar raha hoon. Police department ko tum jaise educated young men ki zaroorat hai. Ad nahi dekha tumne?
Veera:
Oh, come on, Daddy. Aap kya samajhte hain, Ravi police officer ban sakta hai?
DCP Narang:
Zaroor ban sakta hai. Magar Ravi, mujhse sifaarish ki ummeed mat rakhna.
Ravi Verma:
To aap sifaarish nahi karenge? Very good. Phir to main kal hi application bhej doonga.
DCP Narang:
Best of luck.
DCP Narang:
Veera, mere liye bhi chay banaana. Main abhi change karke aata hoon. Baitho, baitho.
Veera:
Achha, to aap bhi police officer banne waale hain.
Veera:
Pichhle janam mein main zaroor chor dakoo thi.
Veera:
Aankh kholte hi daddy ko police ki service mein dekha aur ab tumhe bhi. Yeh police mere pechhe kyo lagi hai? Ha ha ha.