Deewaar

Scene #7 - Mera baap chor hai

At a local tattoo shop.
Drunkard:
Aaj mere haath pe meri jaani ka naam likh de, pyaare.
Tatto artist:
Soch lo, bhaiya. Nasha to utar jayega. Ek baar haath pe likh diya to, zindagi bhar tak nahi nikalne waala.
Neighbor 4:
Arey oh Panchu, woh dekh jaa raha hai, saanp ka beta, sapholiya. Ha ha ha ha ha.
Neighbor 5:
Abey bol, tera naam kya hai. Bol.
Neighbor 4:
Yeh hai Anand Babu ka laadla.
Neighbor 6:
Achchha, to ee hai woh sasur chor ki aulaad.
Neighbor 5:
Bol tera naam kya hai.
Alankar Joshi as Vijay
Vijay:
Vijay.
Neighbor 6:
Abey, tere baap ka naam kya hai?
Alankar Joshi as Vijay
Vijay:
Anand Babu.
Neighbor 5:
Arey, Anand chor bol.
Lifting all limbs of the boy, they sing: 'Gali gali mein shor hai...'
Neighbor 5:
Tu kehta tha na ki tera likha hua zindagi bhar nahi mitata. To likh le iske haath par.
Tatto artist:
Kya likhu?
Neighbor 5:
Arey likh, mera baap chor hai.
The kids reach back home.
Nirupa Roy as Sumitra Devi
Sumitra Devi:
Vijay! Vijay, yeh kya hua? Yeh kya hua, Vijay? Kisne maara tujhe? Kisne maara tujhe? Bol, Vijay. Vijay, tu bolta kyon nahi?
Vijay shows his arm.
Nirupa Roy as Sumitra Devi
Sumitra Devi:
Vijay, mere bachche. Ab hum yahan nahi rahenge. Yahan sab hamare dushman hain. Hum yahan se chale jayenge. Hum yahan se chale jayenge.