An angry Vijay stops his red car and storms into Saamant's goons' hideout, breaking a door with one left kick. He has a gun in his left hand. He fires 5 shots, killing all but one goon, Darpan.
Vijay Verma:
Mujhko Saamant chahiye. Kahan hai woh?
Darpan:
Girija palace, top floor.
At Ravi's house.
Ravi Verma:
Kya keh rahe hain aap? Sir, aapko poora yakeen hai ki Vijay Verma ne hi kiya hai? Oh, God! Sir, in... in baaton se to pata chalta hai ki Vijay Verma Saamant ke ghar ke taraf gaya hoga. Hum log ghera daal denge. Yes, sir. Sir, main vaada karta hoon, ki aaj police ko Vijay Verma zaroor mil jayega, har haal mein. Yes, sir. Maa, aaj mujhe tumhari shakti, tumhara aashirwaad chahiye.
Sumitra Devi:
Uhh. Bhagwan kare goli chalaate waqt tere haath na kaampe.
Ravi bows to take aashirwaad and leaves.
Veera:
Aap jaa rahi hain, maaji?
Sumitra Devi:
Haan. Aurat apna farz nibha chuki. Ab maa apne bete ka intezaar karne jaa rahi hai.
Vijay goes to Saamant's room, breaking the door.
Saamant:
Kaun ho tum?
Saamant's girl-friend:
Ahh!
Saamant:
Kaun ho tum?
Saamant puts on the light.
Saamant:
Tum?! Tum yahan kyon aaye ho? Main kehta hoon ruk jaao. Nazdeek mat aana.
Vijay drops Saamant through the window, on the road . As Vijay reaches the ground floor, a crowd gathers and police jeeps arrive.
Ravi Verma:
Sharma, tum apne aadmi lekar udhar jaao.
Ravi, on the microphone.
Ravi Verma:
Vijay Verma, police tumhe chaaro taraf se gher chuki hai. Bhaagne ka koi raasta nahi hai. Apne aap ko police ke hawaale kar do. Vijay Verma, apne aap ko police ke hawaale kar do.