Arrre. Kya kabhi taanga nahin dekha pehle? Yeh gaaon Kheda hai saab. Yahan motorgaadi nahin milegi ki baithe aur grrrrrrrr se chal diye. Yahan to Basanti ka taanga hi chalta hai. Dekho, mujhe bephijool baat karne ki aadat to hai nahin. Chalna hai to bolo chalna hai.
Jaidev:
Arre bhaai humko to chalna hai...
Basanti:
Nahin chalna hai to theek hai, koi baat nahin ab Basanti se dushmani to nahin ho jayegi. Tum bahar nikle to maine socha ki taanga karoge to pooch liya. Ab koi jabardasti ka sauda to hai nahin. Baithe baithe nahin baithe nahin baithe. Arre yeh to Basanti ka taanga hai koi jameedaar ki bekari thori jo marji na marji karna hi pade. To aaj to wohi misaal ho gayi ki.
Veeru:
Haan chaliye, chalna hai chalna hai. Chalna hai yaar.
Basanti:
Haan to aa jaao. Maine kab mana kiya. Dekho, mujhe bephijool ki baat karne ki aadat to hai nahin. Isliye pehle hi bol dena achcha hai. Belapur ka do rupiya aur Ramgarh ka derh rupiya. Ismein jhik jhik mat karna. Basanti jo bol gayi so bol gayi haan.
Veeru:
To theek hai hum to...
Basanti:
Haan haan samajh gayi. Yehi poochoge na ki Basanti, Belapur ka do aur Ramgarh ka derh kyun? To poocho ki yeh taanga kis gaaon ka hai? Poocho poocho.
Veeru:
Kis gaaon ka hai jeee?
Basanti:
Ramgarh ka hai.
Veeru:
Achcha to Ramgarh ka hai. Hmmm.
Basanti:
Yunki dekhne wali baat yeh hai ki agar hum Belapur ki sawari lein to do chakkar ho jaate hain - yahan se Belapur aur Belapur se Ramgarh. Aur agar Ramgarh gaye to samjho Ramgarh gaye. Yunki taanga bhi Ramgarh ka hai aur hum bhi Ramgarh ke hain. Yeh to hui hamari baat. Ab yeh batao ki tum kahan jaoge?
Veeru:
Yunki hum bhi Ramgarh hi jayenge.
Basanti:
Haan haan to chalo. Maine kab mana kiya. Yunki wahan kiske ghar jaana hai yeh to batana hi parega ki Basanti us ghar ko le chalo.
Jai who is irritated, plugs some cotton into his ears.
Basanti:
Yunki agar humko nahin pata ki tumko jaana kahan hai to hum taanga rokenge kahan?
Veeru:
Hmmm.
Veeru finds some straw and starts cleaning his ears.
Basanti:
Aur agar humne taanga nahin roka to taanga rukega kaise?
Veeru:
Hmmm.
Basanti:
Yunki dekhne wali baat yeh hai ki taanga chala kaun raha hai? Taanga hum chala rahe hain. Aur agar hum hi yeh na jaane ki...
Jaidev:
Thakur Baldev Singh ke ghar jaana hai.
Basanti:
Haan haan chalo. Maine kab mana kiya. To bolo na ki thakur saab ke ghar jaana hai. Chal Dhanno. yunki yeh to wohi misaal ho gayi hai. khair choro. Hamare mausa yahin saari zindagi taanga chalate rahe. Magar dekhne wali baat yeh hai...