Ab main inspector nahin, sirf Thakur Baldev Singh hoon.
Jaidev:
Kyun? Khatron se khelne ka shauk choot gaya, Thakur saab?
Thakur Baldev Singh:
Apni bahaduri par agar itna hi ghamand hai to ek kaam karoge mere liye?
Veeru:
Hum kaam sirf paison ke liye karte hain.
Thakur Baldev Singh:
Kitne chahiye?
Jaidev:
Kaam kya hai?
Thakur Baldev Singh:
Bahadur ho to iski fikar kyun karte ho? Keemat jo tum chaho. Kaam jo main chahoon.
In some hut.
Veeru:
Gabbar Singh! Woh mashoor daaku?
Thakur Baldev Singh:
Haan, wohi.
Veeru:
Suna hai police ne uspar kuch inaam bhi rakha hai.
Thakur Baldev Singh:
Pachaas hazar. Zinda ya murda. Tumhe us daaku ko mere liye pakadna hai, zinda.
Veeru:
Gabbar Singh ko pakadna hai aur woh bhi zinda. Thakur sahab, Gabbar Singh koi bakri ka bachcha hai jo daude aur pakad liya?
Thakur Baldev Singh:
Jaanta hoon, kaam mushkil hai, lekin aasaan kamon ke itne paise nahin diye jaate.
Veeru:
Chaliye maana humne apni jaan par khelkar kisi tarah Gabbar Singh ko pakad bhi liya. Aap chahte hain bees hazar mein hum use pakadke aapke hawale kar dein aur aap ghar baithe pachaas hazar kamaein?
Thakur Baldev Singh:
Police ka inaam bhi tumhi ko milega. Mujhe sirf Gabbar chahiye.
Jaidev:
Koi purani dushmani?
Thakur Baldev Singh:
Yeh poochna tumhara kaam nahin.
Jaidev:
To kuch aur poochhein thakur saab? Aapki nazron mein hum bhi to chor badmaash hain. Phir aapne is kaam ke liye hum dono ko hi kyun chuna?
Thakur Baldev Singh:
Isliye ki loha lohe ko kaatta hai. Ramlal!
Ramlal takes out some money from his pocket and places it on the table.
Thakur Baldev Singh:
Yeh paanch hazar hain. Doosre paanch jab tum Ramgarh aaoge. Baaki ke kaam khatam hone ke baad.