Scene #36 - Burayi ne bandook chalana sikha dee thi
Narmadaji with Thakur saab.
Narmada:
Lekin yeh kaise ho sakta hai thakur sahab? Samaj aur biradri wale kya kahenge?
Thakur Baldev Singh:
Samaj aur biradri insaan ko akelepan se bachane ke liye bane hain Narmadaji, kisi ko akela rakhne ke liye nahin. Aur kya phir doosron ke dar se hum apni Radha ko jeete jee maar daalein? Ab hamara aur aapka kya bharosa...aaj hain kal nahin...kiske sahare jiyegi...kahan jayegi? Yehi sab sochkar aaya tha...waise aap uske pita hai...aap jo kahein.
Narmada:
Nahin nahin Thakur sahab woh ab aapki beti hai...jo aap samjhein, wohi theek hai uske liye.
Thakur Baldev Singh:
Phir bhi ek baar dekh lijiye Jai ko...main ek do din mein use aapke paas bhejta hoon...
Radha listens to all this. Feels happy but doesn't show much on her face.
Veeru:
Jai...kis buntaare mein baitha hai...
Jaidev:
Kuch nahin yaar.
Veeru:
Haan samajh gaya tu kis udhedbun mein hai...tu soch raha hai baat jamegi nahin jamegi kaam hoga nahin hoga...ek kaam kar na...tu toss kar le...head to haan, tail to...to to to...
Jaidev:
Yaar Veeru agar sab kuch theek ho gaya to yahin kyun na reh jaayein...isi gaaon mein...
Veeru:
Haan yeh kahi na mere dil ki baat...kasam se yaar main bhi yehi soch raha tha...chori chakari ki zindagi mein sala koi dam nahin...bahut din jail aur hawalat mein kaat liye...ab paise waise mil jaayein to isi gaaon mein thodi si zameen le lenge, apne ghar banayenge aur kheti baadi karenge...par yaar hal wal to apne ko chalana nahin aata...kheti kaise hogi?
Jaidev:
Burayi ne bandook chalana sikha dee thi, neki hal chalana sikha degi.
Veeru:
Baat to theek hai Jai...haan zaroorat insaan ko sab sikha deti hai...maine to sab kuch pehle hi se soch rakha hai...shaadi karoonge apni taangewali ke saath aur do teen saal mein hi do teen hatte katte bachche paida karoonga...maine to saalon ke naam bhi soch rakhein hain...aur jab main poochunga ari O sheru ki maa...bachche kahan gaye hain...to bade pyar se kahegi...aji jayenge kahan...yahin gaye honge apne Jai chacha ke paas kahani sunne...
Jaidev:
Haaa haaa haaa...abe...jab tu apne bachchon ki baat karta hai, unhe kahani sunne mere paas bhej deta hai...yeh kya chakkar hai?
Veeru:
Dekh Jai tu achchi tarah jaanta hai ki mujhe kahani wahani yaad nahin rehti...
Jaidev:
Kahani yaad nahin rehti! Tujhe to yeh bhi yaad nahin ki kal kya hua tha...
Veeru:
Kal...arre kal ka yaad hai...kal main Basanti se mila tha...aur aaj subah talab ke kinare phir milne ka wada kiya hai...