Scene #35 - Kya usey ek nayi zindagi shuru karne ka koi adhikar nahin
Night. Jai is playing his same old tune on his mouth organ. Radha puts off three lamps, goes inside a roonm, locks it from inside and goes to sleep.
Jaidev:
Yaar...Veeru!
Veeru:
Hmmm?
Jaidev:
Maine ek faisla kiya hai.
Veeru:
Achcha...ab tu bhi faisla karne laga.
Jaidev:
Haan yaar soch raha hoon tu to kar hi raha hai, main bhi kar loon...
Veeru:
Kya?
Jaidev:
Shaadi.
Veeru:
Shaadi! Hmm...haaa haaa haaa...abe tu shaadi karega?
Jaidev:
Haan yaar bahut ho gaya. Ab to yehi socha hai ki ek seedhi saadi zindagi ho...ek ghar ho, biwi ho, dher saare bachche hon, tere kandhe par khelein, tu unhe kahaniyaan sunaye...
Veeru:
Bas bas bas bas...huzur zara tashreef rakhiye...baithiye, baithiye na...aap jaante hain, shaadi ke liye kam se kam ek ladki ki zaroorat hoti hai...
Jaidev:
Hmmm.
Veeru:
To aapne ladki dekhi hai?
Jaidev:
Dekhi hai.
Veeru:
Kya main pooch sakta hoon kaun hai woh.
Jaidev:
Radha.
Veeru:
Radha! Yeh Radha? Tera dimaag to kharab nahin ho gaya hai, jaanta hai kaun hai woh?
Jaidev:
Dekh Veeru aajkal to choron aur dakuon ko dubara basane, unhe ek nayi zindagi dene ki koshish ki jaati hai...aur phir Radha ka to koi dosh bhi nahin...kya use ek nayi zindagi shuru karne ka koi adhikar nahin?