Main bataoon tera bahut bada faisla? Tu Basanti se shaadi karna chahta hai.
Veeru:
Arre waah waah waah. Tu mera sachcha yaar hai. Ek yaar hi yaar ke dil ki baat jaan sakta hai.
Jaidev:
Aur yeh yaar yeh bhi jaanta hai ki is saal mein shaadi ka yeh tera aathwaan faisla hai.
Veeru:
Yeh final hai yaar.
Jaidev:
Final! Subah se daaru pee raha hai na?
Veeru:
Yaar partner! Mera ek kaam kar de.
Jaidev:
Kya?
Veeru:
Woh Basanti hai na, uski mausi ke paas jaake meri shaadi ki baat kuch is dhang se kar ki mausi shagun leke aa jaaye.
Jaidev:
Main kyun karoon?
Veeru:
Arrre! Ladke wale hi to jaate hain ladki walon ke ghar. Jai! Aur phir is duniya mein tere siwa mera hai kaun?
Jaidev:
Dekh shaadi tune karni hai tu jaake baat kar.
Veeru:
Zara soch...shaadi ke baad ek ghar hoga...
Jaidev:
Ghar to tera hoga.
Veeru:
Ek biwi hogi...
Jaidev:
Teri hogi.
Veeru:
Saat-aanth bachche honge...
Jaidev:
Tere honge.
Veeru:
Par chacha chacha to tumhe hi bolenge na? Pyar se tumhare god mein khelenge, tumhare kandhon par jhoola jhoolenge, aur totli zubaan mein bolenge, taaata taaata humko kahaniyaan sunao.
Jaidev:
Hmmm, to shaadi ke baad tere ghar mein mujhe aaya ki naukri milne wali hai.
Veeru:
Samjha! Tu mera dost nahin hai. Laanat hai aisi dos...
Veeru is about to throw away the bottle that he is holding, but stops; takes a sip from it.
Veeru:
Isiliye akad raha hai na ki mera yeh kaam tere bagair koi doosra nahin kar sakta. Aaj meri maa hoti to meri kab ki shaadi ho chuki hoti. Mere chhote chhote baal-bachche hote. Aaj mera baap hota to band-baaje ke saath meri shaadi karke laata. Mere bhai-behen hote to mausi ke pair chhookar bhi Basanti ki shaadi mujhse karwa dete. Lekin yeh mat bhool Jai, jiska koi nahin hota, uska bhagwaan hota hai. Bhagwaan!!!
Raises both of his hands (with the bottle in them) up towards the sky and takes a sip.
Veeru:
Tu woh dost nahin raha. Tu nahin chahta ki main bure dhandhe chorkar ghar grihasthi basa sakoon. Maine tujhe kya samjha tha Jai lekin tu...tu kya nikla...
Veeru covers his face with his hands and turns away. Jai gets up, picking his shoes and jacket.
Jaidev:
Saala nautanki! Ghadi ghadi drama karta hai. Chal bas bas. Bahut ho gaya hai. Main mausi se jaake baat kar loonga.