Arre beta, bas itna samajh lo ki ghar mein jawan beti seene par paththar ke sil ki tarah hoti hai. Basanti ka byaah ho jaaye to chain ki saans loon.
Jaidev:
Haaan sach kaha mausi aapne. Bada bojh hai aap par.
Mausi:
Lekin beta is bojh ko koi kuein mein to phenk nahin deta. Bura nahin manna...itna to poochna hi padta hai ki...ladke ka khaandaan kya hai, lakchan kaise hain, kamaata kitna hai?
Jaidev:
Kamane ka to yeh hai mausi ki ek baar biwi bachchon ki zimmedari sar par aa gayi to kamane bhi lagega.
Mausi:
To kya abhi kuch bhi nahin kamata?
Jaidev:
Nahin nahin yeh maine kab kaha mausi? Kamata hai lekin ab roz roz to aadmi jeet nahin sakta na. Kabhi...haar bhi jaata hai bechara.
Mausi:
Haar jaata hai!
Jaidev:
Haan mausi, ab yeh kambakth jua cheez hi aisi hai...ab main kya kahoon.
Mausi is shocked.
Mausi:
Haaaainnnn! To kya juaari hai?
Jaidev:
Chi chi chi chi mausi. Woh aur juaari? Naa naa. Woh to bahut hi achcha aur nek ladka hai. Lekin mausi ek baar sharab pee li na, phir achche bure ka kahan hosh rehta hai? Haath pakad ke bithaye liya kisi ne jua khelne ab ismein bechare Veeru ka kya dosh?
Mausi:
Theek kehte ho beta, juaari ho, sharabi ho, lekin uska koi dosh nahin.
Jaidev:
Mausi aap to mere dost ko galat samajh rahi hain. Woh to itna seedha aur bhola hai...arre Basanti se uski shaadi karke to dekhiye...yeh jue aur sharab ki aadat to do din mein choot jayegi.
Mausi:
Arre beta! Mujh budhiya ko samjha rahe ho! Yeh saraab aur jue ki aadat kisi ki chooti hai aajtak?
Jaidev:
Mausi aap Veeru ko nahin jaanti, vishvaash kijiye woh is tarah ka insaan nahin hai. Ek baar shaadi ho gayi, woh us gaanewali ke yahan jaana band kar dega...bas...sharab apne aap chhoot jayegi.
Mausi:
Haaye haaye bas yehi ek kami reh gayi thi. To kya kisi gaanewali ke ghar bhi aana jaana hai?
Jaidev:
To ismein kaunsi buri baat hai mausi? Arre gaana sunne to raja maharaja oonche oonche khaandaan ke log jaate hain. Haan.
Mausi:
Achcha! To beta yeh bhi batate jao ki tumhare yeh gunwan dost kis khaandaan ke hain?
Jaidev:
Bas mausi khaandaan ka pata chalte hi hum aapko khabar de denge.
Mausi:
Ek baat ki daad doongi beta. Bhale sau burayiyaan hain tumhare dost mein. Phir bhi tumhare muhn se uske liye taareefein hi nikalti hain.
Jaidev:
Huhhh...ab kya karoon mausi, mera to dil hi kuch aisa hai. To...main yeh rishta pakka samjhoon?
Mausi:
Pakka!!! Bhale saari zindagi ladki kunwari baithi rahe...lekin main aise aadmi se Basanti ko nahin byaahne wali. Sagi mausi hoon. Koi sauteli maa nahin.
Jaidev:
Ajeeb baat hai. Mere itne samjhaane par bhi aapne inkaar kar diya. Tch! Bechara Veeru. Na jaane kya karega!