Sholay

Scene #40 - Itna bada dhokha

Veeru comes running on his horse.
Dharmendra as Veeru
Veeru:
Jaaaaiiiii!
Jai is crawling on ground.
Amitabh Bachchan as Jaidev
Jaidev:
Uuuuhhhh!
Dharmendra as Veeru
Veeru:
Jaaaai!!! Jaiiiii! Jai! Jai!
Amitabh Bachchan as Jaidev
Jaidev:
Ummmaaaaah!
Dharmendra as Veeru
Veeru:
Jai, tu theek hai na?
Amitabh Bachchan as Jaidev
Jaidev:
Haan haan Veeru! Main theek hoon. Dekha! Ek ek sale ko maar diya..aaaa!
Dharmendra as Veeru
Veeru:
Jai Jai Jai tu ghabra mat. Ghabra mat.
Amitabh Bachchan as Jaidev
Jaidev:
Aaaah! Jab tu mere saath hai Veeru to main kyun ghabrane laga?
Dharmendra as Veeru
Veeru:
Jai hum log apne gaaon chale jayenge. Sab theek ho jayega.
Amitabh Bachchan as Jaidev
Jaidev:
Mera...mera khel khatm ho gaya Veeru...
Dharmendra as Veeru
Veeru:
Nahin!
Amitabh Bachchan as Jaidev
Jaidev:
...khatm ho gaya!
Dharmendra as Veeru
Veeru:
Nahin...nahin Jai nahin. Aisa mat kaho aisa mat kaho.
Amitabh Bachchan as Jaidev
Jaidev:
Lekin...lekin koi dukh nahin Veeru. Jiye to dost ke saath. Mare to dost ke saamne. Bas ek baat reh jayegi Veeru. Tere bachchon ko kahani nahin suna saka.
Dharmendra as Veeru
Veeru:
Tumhe kuch nahin hoga Jai tum theek ho jaoge tum theek ho jaoge.
Amitabh Bachchan as Jaidev
Jaidev:
Lekin Veeru, tu unhe hamari dosti ki kahani zaroor sunana. Yeh kahani to nahin bhoolega na?
Dharmendra as Veeru
Veeru:
Kaisi baatein kar rahe ho tum!
Amitabh Bachchan as Jaidev
Jaidev:
Haaaah!
Radha sees this and comes running towards Jai.
Amitabh Bachchan as Jaidev
Jaidev:
Dekh Veeru dekh! Yeh kahani bhi adhoori reh gayi Veeru. Kya socha tha aur kya...aaaaah!
Dharmendra as Veeru
Veeru:
Jaaaaiii! Nahin Jai nahin tu mujhe chhodkar nahin jaa sakta. Tu mujhe chorkar nahin jaa sakta Jai. Nahin!!!
Amitabh Bachchan as Jaidev
Jaidev:
Veeru!
Dharmendra as Veeru
Veeru:
Nahin!
Amitabh Bachchan as Jaidev
Jaidev:
Veeru!
Dharmendra as Veeru
Veeru:
Nahin!
Amitabh Bachchan as Jaidev
Jaidev:
Veeeeruuu!
Dharmendra as Veeru
Veeru:
Nahin Jai nahin! Nahin! Jai! Jai nahin Jai nahin Jai nahin...
Veeru starts crying. Thakur moves towards Radha and tries to console her. She starts crying on his shoulders.
Dharmendra as Veeru
Veeru:
(in the background) Tune yeh kya kiya, bewafa ban gaya, waada todke. Chal diya is tarah, raah mein tu mujhe, peeche chhodke. Aage tu nikal gaya, saathi tu badal gaya, todi dosti... Yeh dosti hum nahin todenge, todenge dum magar tera saath na...
Jai's hand drops off to ground, revealing the coin in his palm. Veeru takes the coin in his hands. He is surprised to see that both the faces of the coin are heads.
Dharmendra as Veeru
Veeru:
Jai!!! Tune meri jaan bachane ke liye mujhe itna bada dhokha diya hai. Main bhi tere khoon ki kasam khaake kehta hoon - ek ek ko chun chun ke maaroonga chun chun ke maaroonga Gabbar Singh, aa raha hoon main.