Scene #16 - Maut tumhare sar par khel rahi hai Kalia
Jai enters, sitting on the back of a cow with a stick in hand.
Jaidev:
Huuuurrrrr.
The widow sees him like that from the stairs. Jai notices and his hand remains raised in air. He gets down. The widow smiles. Jai realizes about his hand and brings it down. Jai goes his way. The widow blushes and goes her way.
At night, Jai is sitting on the porch and playing mouth organ. The widow is on the terrace. She puts off three lamps. Jai keeps on playing.
Its morning. Everyone is doing their work.
Bang! Bang! Bang!
Villager:
Thakur! Thakur!!
Three horse riders enter the village. Streets are deserted.
Kaalia:
Arre ooo Kashiram. Ooo Dhaulia, kahan mar gaye sab log? Aao aao Shankar. Kya laaye ho?
Villager:
Malik, jwar laya hoon.
Kaalia:
Malik ke bachche! Hamare liye yeh aadhi muththi jwar laya hai? Aur baaki kya apni beti ke baratiyon ko khilane ke liye rakhi hai?
Villager:
Mai-baap. Jitni thi, sab laaya hoon.
Kaalia:
Jis din ek goli utar gayi khopdi mein, jitna bheja hai sab bahar nikal aayega.
Dacoit # 2:
Haram zaada.
Kaalia:
Kya laaye ho Dhauliya?
Dhauliya:
Gehoon hai malik.
Kaalia:
Hmmm. Theek hai. Rakh do sab maal wahin par.
Thakur Baldev Singh:
Thehro.
Kaalia:
Aao thakur aao. Abhi tak zinda ho?
Thakur Baldev Singh:
Haan. Aur jab tak main zinda hoon, Gabbar se kehna tum ek daana bhi is gaaon se nahin le jaa sakte.
Kaalia:
Kaun rokega hamein? Tum?
Thakur Baldev Singh:
Haan main aur mere aadmi.
Kaalia:
Yeh aadmi? Suno. Thakur ne hijdon ki fauj banayi hai... haaahaahhaahaa.
Thakur Baldev Singh:
Maut tumhare sar par khel rahi hai Kalia. Nazar uthakar dekh lo.
Kalia notices Veeru and Jai sporting rifles.
Kaalia:
Do. Bas?
Thakur Baldev Singh:
Tumhare liye kaafi hain. Kaashiram, sab saman wapas rakhwa do.
Kaalia:
Soch lo Thakur, Gabbar ko pata chala ki is gaaon ne uske aadmiyon ko anaaj nahin diya to bahut khoon kharaba ho sakta hai. Kyun bekar mein.
Tries to take out his gun. Jai shoots at his hand. Veeru shoots on the other two dacoits.
Thakur Baldev Singh:
Ab jao aur Gabbar se keh dena ramgarh walon ne pagal kutton ke saamne roti daalna band kar diya hai. Chale jao yahan se.
Kaalia:
Jaata hoon Thakur, jaata hoon. Chalo.
Dacoits leave. Veeru shoots and Kalia's rifle is dropped. Villagers pick up Jai and Veeru on their shoulders.